Maa Ko Seenay Se Laga Lo | Syed Meesam Ali Mehdi | Noha Bibi Fatima 2022 | Ayam e Fatimiyah 2022 - 13 Jamadi-ul-Awwal - 3 Jamad-us-Sani - Bibi Fatima sa Shahadat Noha - Ayam e Fatimiyah Noha
Video info
Noha Title | Maa Ko Seenay Se Laga Lo
Reciter, Poetry & Composition | Syed Meesam Ali Mehdi
Chorus | Rizwan Mirza & Hasnain Mehdi
Audio Master & Mixing | ODS Karachi
Video Editing | The Focus Studio
Graphics | MA Creations (Minhaj Ahmed)
Maa Ko Seenay Se Laga Lo Noha Lyrics
Sher-e-Khuda jo laaey janaza Batool ka
Bachon ne jaanay maa ko wida kis tarha kiya
Lekin Hussain keh ke ye aagay nahi barha
Gar maa na khud bulaaey main milne na aaoonga
Ye sun ke haath bandh-e-kafan se nikal gaey
Zahra ye ro ke us ghari boli Hussain se
Shabbir zara maa ko seenay se laga lo
Jo dil mein tere hain wo armaan nikaalo
Achi tarha ye tum ko maaloom hai beta
Maadar se tera rona dekha nahi jaata
Nazron se meri apne ashkon ko chupa lo
Hai mujh ko khabar kitni mushkil ki ghari hai
Is haal mein bachon ko maa chor rahi hai
Mar jaaey na rotay wo Zainab ko sambhaalo
Main jaanti hoon mujh se kub rootthay hooway ho
Takleef na ho maa ko ye soch rahay ho
Haalat mere pehlu ki ik pal ko bhula lo
Furqat se zara pehle kuch chain to paa loon
Jaatay hooway main tum ko aankhon mein samaa loon
Aey laal zara maa ko chehra to dikha lo
Bus itna kahoongi jo paas aaey ho mere
Gar tum ko lipatna hai is zakhmi badan se
Baahen meri gardan mein aaraam se daalo
Thaamay hooway pehlu ko labbaik kahoongi
Run mein teri fariyaad jis waqt sunoongi
Maa saath mere laash-e-Akbar ko uttha lo
Jis waqt gala hoga tera tah-e-khanjar
Haath apna rakhoongi pehlu se hata kar
Maadar se na kehna ke haathon ko hata lo
Jibreel se aey Meesam bola ye Khuda ne
Mehshar na kaheen barpa ho jaaey abhi se
Jaldi se shah-e-deen ko Zahra se chura lo
Maa Ko Seenay Se Laga Lo Noha Lyrics In Hindi
शेर-ए-खुदा जो लाए जनाजा बातूल का
बचों ने जाने माँ को विदा किस तरह किया
लेकिन हुसैन कह के ये अगे नहीं बरहा
गर मां न खुद बुलाए मैं मिलने न आओगा
ये सुन के हाथ बंद-ए-कफ़न से निकले गए
ज़हरा ये रो के उस घरी बोली हुसैन से
शब्बीर जरा मां को देखे से लगा लो
जो दिल में तेरे हैं वो अरमान निकलालो
अच्छी तरह ये तुम को मालूम है बेटा
मादर से तेरा रोना देखा नहीं जाता:
नज़रों से मेरे अपने अशकों को छुपा लो
है मुझे खबर कितनी मुश्किल की घरी है
क्या हाल में बचों को मां चोर रही है
मर जाए न रोटे वो ज़ैनब को संभालो
मैं जनता हूं मुझसे से कब रूटथे हुवे हो
तकलीफ ना हो मां को ये सोच रहे हो
हलत मेरे पहलू की इक पल को भुला लो
फुरकत से जरा पहले कुछ चेन तो पा लूं
जाते हुवे मैं तुम को आंखों में समा लूं
ऐ लाल जरा मां को चेहरा तो दिख लो
बस इतना कहूंगी जो पास आया हो मेरे
गर तुम को लिपटना है तो ज़ख्मी बदन से
बहन मेरी बगीचा में आराम से डालो
थामे हुवे पहलू को लब्बैक कहूँगी
भागो में तेरी फरियाद जिस वक्त सुनूंगी
माँ साथ मेरे लाश-ए-अकबर को उठा लो
जिस वक्त गला होगा तेरा तह-ए-खंजारी
हाथ अपना रखूंगी पहलू से हटा कर
मदर से ना कहना के हाथों को हटा लो
जिब्रील से ऐ मीसम बोला ये खुदा ने
महशर न कहीं बरपा हो जाए अभी से
जल्दी से शाह-ए-दीन को जहर से चुरा लो
0 Comments