Noha Bibi Fatima 2022 | Baba Teri Ummat Ne | New Kalam of Sayed Abbas Baqri | Ayam e Fatimiyah Noha 2021
Kalam | BABA TERI UMMAT NE
Recited By | Sayed Abbas Baqri
Poet | Janab Tazeem Abidi
Composition | Sayed Abbas Baqri
Audio | Javed Azad
Video | Baqri Production
BABA TERI UMMAT NE Noha Lyrics
Baba Teri Ummat Ne Yu’n Mujh Ko Sataya Hai
Baqi Na Raha Koi Jo Zulm Na Dhaya Hai
Pehlu Hai Shikasta Aur Mohsin Ki Qaza Aayi
Main Halat-E-Gham Mein Thi Haste The Tamashayi
Jalta Hua Darwaza Jab Mujhpe Giraya Hai
Tooti Hai Pasliya Or Zakhmi Hai Mera Seena
Is Haal Mein Lagta Hai Mushkil Hai Mera Jeena
Ye Dard Mere Baba Sanso Mein Samaya Hai
Har Saas Pe Aey Baba Ek Barq Si Lehraye
Ye Dard Mujhe Janib Bus Maut Ki Le Jaye
Takleef Hai Aesi Ke Jeena Bhi Bhulaya Hai
Haider The Rasan Basta Yawar Koi Nahi Tha
Kehte The Usko Mujrim Waliyo Ka Jo Wali Tha
Be Jurm Murtaza Ko Qaidi Bhi Banaya Hai
Takleef Is Qadar Hai Din Raat Tadapti Hu’n
Rato’n Ko Jag Kar Main Tanha Hi Sisakti Hu’n
Ab Tak Na Murtaza Ko Kuch Maine Bataya Hai
Aey Baba Aapne Jo Mujhko Fidaq Diya Tha
Haq Hai Tumhara Isper Jo Aapne Kaha Tha
Haq Aapki Dukhtar Ka Zalim Ne Dabaya Hai
Haq Mang Ne Ko Apna Darbaar Mein Gayi Thi
Baithe Rahe Sitamgar Main Bich Mein Khadi Thi
Main Hu’n Nabi Ki Beti Sab Ne Ye Bhulaya Hai
“Abbas” Ki Zabani “Tazeem” Ka Bayaan Hai
Shayar Hai Ek Duja Mola Ka Nauhakha Hai
Aesa Hunar Yeh Hum Ko Maula Ne Sikhaya Hai
BABA TERI UMMAT NE Noha Lyrics In Hindi
बाबा तेरी उम्मत ने यूं मुझे को सत्या है
बाकी ना रहा कोई जो ज़ुल्म ना ध्यान है
पहलू है शिक्षा और मोहसिन की कज़ा आई
मैं हलत-ए-गम में थी जल्दबाजी द तमाशायी
जलता हुआ दरवाजा जब मुझे गिराया है
टूटी है पसलिया या ज़ख्मी है मेरा सेना
क्या हाल में लगता है मुश्किल है मेरा जीना
ये दर्द मेरे बाबा सांसो में समय है
हर सास पे ऐ बाबा एक बरक़ सी लहरे
ये दर्द मुझे जानीब बस मौत की ले जाए
तकलीफ है ऐसी के जीना भी भूला है
हैदर द रसन बस्ता यावर कोई नहीं था
कहते हैं उसको मुजरिम वालियो का जो वाली था
बी जुर्म मुर्तजा को कैद भी बनाया है
तकलीफ इस कदर है दिन रात तड़पती हुई
रातों को जग कर मैं तन्हा ही सिसक्ति हुआ
अब तक ना मुर्तजा को कुछ मैंने बताया है
ऐ बाबा आपने जो मुझे फ़िदाक़ दिया था
हक है तुम्हारा इस्पर जो आपने कहा था
हक आपकी दुख्तर का ज़ालिम ने दबया है
हक मांग ने को अपना दरबार में गई थी
बैठे रहे सीतामगर मैं बिच में खादी थी
मैं हूं नबी की बेटी सब ने ये भुला है
"अब्बास" की ज़बानी "तज़ीम" का बयान है
शायर है एक दूजा मोला का नौहाखा है
ऐसा हुनर ये हम को मौला ने सिखया है
0 Comments