Header Notification

Zahoor E Imam Mahdi | Qayamat Ki Nishaniyan | Dajjal Ka Khurooj!!! Fikar E Iqbal

Zahoor E Imam Mahdi | Qayamat Ki Nishaniyan | Dajjal Ka Khurooj!!!

Zahoor E Imam Mahdi | Qayamat Ki Nishaniyan | Dajjal Ka Khurooj

 Aj hum bat karte hain Zahoor e Mahdi ki, Qayamat ki Nishaniyan to wase pori ho chuki hain bas Dajjal ka Khurooj jo hai us mein se aik Nishani reh gai hai wo bhi jaldi pori hone wali hai, aur Imam Mahdi as ka Zahoor to Inn Sha Allah Anqarib hone wala hai. Fuqra aur Waliyon ne bhi farma diya hai ke Imam Mahdi as ka Zahoor ke bare mein ke ab sirf Imam Mahdi as ka Zahoor baqi hai. Aur Dajjal ke Khujoor ke bare mein bhi bata diya gaya hai ke Dajjal ki Bas Akhri Nishani reh gai hai aur wo Nishani bhi jaldi pori hone wali hai. Deen e Islam mein Quran e Pak aur Hadees e Mubarak mein jo Qayamat ki Nishaniyan batai gai hain, Imam Mahdi as ka Zahoor bataya gaya hai aur Dajjal ka Khurooj bataya gaya hai, Imam Mahdi as ke Zahoor ki jo Nishaniyan batai gai hain un Nishaniyon mein se ab sirf aik Nishani baqi hai, aur wo hai Suraj ka Maghrib se nikalna, Aur Dajjal ke Khurooj ki jo Nishaniyan batai gai hain to Dajjal ke Khurooj mein se bhi aik Nishani baqi hai, aur wo nishani pori hona shoro ho gai hai is ka matlab ye hai wo Nishani pori hote hi Dajjal ka Khurooj ho jayega. Kyun ke Dajjal ka Khrooj pehle ho ga aur Imam Mahdi as ka Zahoor bad mein ho ga, aur Zahoor e Mahdi ke bad hi Dajjal ka khatama hoga. Ab yahan sawal ye paida hota hai ke, Imam Mahdi as Ka Zahoor Kab Hoga? Zahoor e Mahdi ki jo akhri nishani hai wo hai Suraj ka Maghrib se Talu hona, to is ke opar Hadees e Mubarka hai, Nabi Pak saw ne farmaya: Qayamat us waqt tak qaim nahi ho gi jab tak Suraj Maghrib se Talu nahi hota. Us Suraj ke bare mein bhi kafi sari Hadees e Mubarka hain ke wo Suraj madham hoga, wo Suraj Chand ki manid hoga, Darhaqeeqat Fuqra aur Waliyon ne is ki tashreeh ki hai ke wo Zaat e Imam Mahdi as ki ho gi, kyun ke wo bashriyat ke libade ko hata ke Zahoor Pazeer hogi, kyun ke bashriyat mein wiladat hoti hai aur Zahoor Bashriyat mein nahi hai. Aur ye bhi Hadees e Mubarka hain ke Jab Maghrib se Suraj Talu ho jayega to phir Tauba ka darwaza band ho jaye ga. Yani jis ne Imam Mahdi as ka sath diya jo Imam Mahdi as ke Lashkar mein shamil hoga so ho gaya, us ke bad Imam Mahdi as ke Lashkar mein shamil nahi ho sakte, Jab Imam Mahdi as ka Zahoor hoga, jab har chez parde se hat gai, is ka matlab jo Imam Mahdi as ki zaat se jo pehle se wabasta thay wohi wabasta rahen gay, aur Imam Mahdi as ke Zahoor ke Bad un se koi wabasta nahi ho sakta, kyun ke phir Tauba ke darwaze band hon gay. Imam Mahdi as ke Zahoor ke bad un ki Hakumat ho gi wo chahe 7 sal 9sal ya phir 11 sal chale us bad Qayamat ki Tayariyan hongi, phir Qayamat ka manzar hoga ga jaisa ke Islam mein Quran e pak aur Hadees e Mubarka mein Qayamat ke liye ata hai. aik bat yad rahe ke Tauba ka darwaza Imam Mahdi as ke Zahoor se pehle hai Zahoor e Mahdi ke bad nahi. Kyun ke Dajjal ka Khurooj pehle ho ga aur Imam Mahdi as ka Zahoor to bad mein hona hai, to is liye aksar log Dajjal ka sath de baithen gay, to is liye Tauba ka darwaza Zahoor e Mahdi se Pehle hi hai, Imam Mahdi ke Zahoor ke Bad nahi, Ye to Hadees bhi hai ke 72,000 olma Dajjal ke hath par bait karen gay to phir aam insan kahan jaye. Ab yahan sawal ye paida hota hai ke Imam Mahdi ke Zahoor ke Bad, Imam Mahdi as ki Pehchan kaise hogi? Agar ap chahte hain ke ap ko bhi Imam Mahdi as ki Pehchan ho, agar ap chahte ho ke ap bhi Imam Mahdi as ke Lashkar mein shamil hon, to aik bat yad rahe ke Imam Mahdi as ki Pehchan usi ko ho gi jis ke dil mein Allah ka Zaati Noor hoga, Imam Mahdi as ke Lashkar mein wohi shamil hoga jis ke dil mein Allah ka Zaati Noor ho ga, aur dil mein Allah ka Zaati noor kaise aayega? dil mein Allah ka Zaati Noot paida karne ke liye ap ko apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka Zikr karna hoga, dil ki aik tik ke sath Allah aur dosri tik ke sath Hoo mila ke parha karen, tabhi ap ko Imam Mahdi as ki pehchan bhi ho pae gi aur Zahoor e Mahdi ke bad ap Imam Mahdi as ke Lashkar mein bhi shamil ho paen gay.

Post a Comment

0 Comments