Header Notification

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous e Azam Ka Lyrics English Text Alhaj Owais Raza Qadri खुदा के फ़ज़ल से हम पर है साया गौषे आजम का

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous e Azam Ka
Hume Dono Jahaan Me Hai Sahara Ghous e Azam Ka

Mureedi La-Takhaf Keh Kar Tasalli Di Gulamon Ko
Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghous e Azam Ka

Azizo Kar Chuko Taiyaar Jab Mere Janaaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam e Waala Ghous e Azam Ka

Farishto Rokte Ho Kyu Mujhe Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Haath Me Daaman Hai Kiska Ghous e Azam Ka

Nida Dega Munaadi Hashr Me Yun Qadriyon Ko
Kahan Hai Qadri Karle Nazaara Ghous e Azam Ka

Hamaari Laaj Kiske Haath Hai Baghdad Wale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kiska Ghous e Azam Ka

Suna Farman Khuraasaan Me Moinuddin Chisti Ne
Jhuka Kar Sar, Liya, Aankhon Pe Talwa Ghous e Azam Ka

Gaye Ek Waqt Me Sattar Mureedo Ke Yaha Hazrat
Samajh Me Aa Nahi Sakta Mu’Amma Ghous e Azam Ka

Farishte Madrase Tak Saath Pohchaane Ko Jaate The
Ye Darbaar e Ilahi Me Hai Rutba Ghous e Azam Ka

Muhammad Ka Rasoolo Me Hai Jaise Martaba A’ala
Hai Afzal Auliya Me Yunhi Rutba Ghous e Azam Ka

Bula Kar Kafilo Ko Dete Hain Abdaal Ka Rutba
Hamesha Josh Me Rehta Hai Dariya Ghous e Azam Ka

Luaab Apna Chataya Ahmed e Mukhtar Ne Inko
To Phir Kaise Na Hota Bolbaala Ghous e Azam Ka

Lahad Me Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Naam Leva Ghous e Azam Ka

Janaab e Ghous Dulha Aur Baraati Auliya Honge
Mazaa Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous e Azam Ka
 
Mukhalif Kya Kare Mera Ke Behad Hai Karam Mujh Par
Khuda Ka, Rehmatallil Aalameen Ka, Ghous e Azam Ka

Salasile Jahan Kyu Gar Na Unke Roab Se Kaampe
Na Laya Sher Ko Khatre Me Kutta Ghous e Azam Ka

Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyahon Ki
Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous e Azam Ka

Jameel e Qadri Sau Jaan Ho Qurbaan Murshid Par
Banaya Jisne Mujh Jaise Ko Banda Ghous e Azam Ka

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous e Azam Ka Lyrics In Hindi


खुदा के फ़ज़ल से हम पर है साया गौषे आजम का
हमें दोनो जहाँ में है सहारा गौषे आजम का

मुरीदी ला-तखफ केह कर तसल्ली दी गुलामों को
क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ़ बंदा गौषे आजम का

अज़ीज़ो कर चुको तैयार जब मेरे जनाज़े को
तो लिख देना कफन पर नामे वाला गौषे आजम का

फरिश्तो रोकते हो क्यू मुझे जन्नत में जाने से
ये देखो हाथ में दामन है किसका गौषे आजम का

निदा देगा मुनादी हश्र में यूं कादरियों को
कहां है कादरी करले नज़ारा गौषे आजम का

हमारी लाज किसके हाथ है बगदाद वाले के
मुसिबत ताल देना काम किसका गौषे आजम का

सुना फरमां खुरासां में मोइनुद्दीन चिश्ती ने
झुका कर सर, लिया आँखों पे तलवा गौषे आजम का

गये एक वक्त में सत्तर मुरीदो के यहाँ हज़रत
समज में आ नहीं सकता मु’अम्मा गौषे आजम का

फरिश्ते मदरसे तक साथ पोहचाने को जाते थे
ये दरबारे इलाही में है रुतबा गौषे आजम का

मुहम्मद का रसूलो में है जैसे मरतबा आला
है अफजल औलिया में युंही रुतबा गौषे आजम का

बुला कर कफिलो को देते हैं अब्दाल का रुतबा
हमेशा जोश में रेहता है दरिया गौषे आजम का

लुआब अपना चटाया अहमदे मुख्तार ने इनको
तो फिर कैसे न होता बोलबाला गौषे आजम का

लहद में जब फरिश्ते मुझसे पूछेंगे तो कह दूंगा
तरिका कादरी हूँ नाम लेवा गौषे आजम का

जनाबे ग़ौस दूल्हा और बाराती औलिया होंगे
मज़ा दिखलायेगा महशर में सेहरा गौषे आजम का

मुखालीफ क्या करे मेरा के बेहद है करम मुझ पर
खुदा का, रहमतल्लिल आलमीन का, गौषे आजम का

सलासिले जहान क्यू गर ना उनके रोब से कांपे
न लाया शेर को खतरे में कुत्ता गौषे आजम का

खुदावंदा दुआ मकबूल कर हम रू सियाओं की
गुनाहों को हमारे बख्श सदका गौषे आजम का

जमीले कादरी सौ जान हो कुर्बान मुर्शिद पर
बनाया जिसने मुझ जैसे को बंदा गौषे आजम का

Post a Comment

0 Comments