Header Notification

Musalman Aur Momin Mein Kya Farq Hai? Hadees E Mubarka

Musalman Aur Momin Mein Kya Farq Hai? Hadees E Mubarka!!!

Musalman Aur Momin Mein Kya Farq Hai? Hadees E Mubarka, Aj hum ne Hadees e Mubarka ki roshni mein ye bat karni hai ke Musalman aur Momin mein kya farq hai, Musalman kis ko kehte hain ya Musalman kon hai aur Momin kis ko kehte hain ya phir Momin kon hai, Musalman aur chez hai aur Momin aur chez hai, misal ke tour par Musalman Allah ko manta hai, aur Momin Allah ki Manta hai. Musalman aur Momin dono mein Farq khud Hadees Sahi Bukhari mein hai. Is ke opar aur bhi Hadees e Mubarka hain lakin aj hum is par bat karte hain, Jild No1 aur Hadees No 26, Hazrat Sa'ad Raziallah anh ap Nabi e Pak saw ki Mehfil mein mojod hain, Nabi e Pak saw aik groh mein mall takseem farma rahe hain, ap ne aik shakhs ko mall nahi diya, to azrat Sa'ad Raziallah anh kya arz kare hain, Ya Rasool Allah saw kya waja hai ke ap ne aik shakhs ko mall ata nahi farmaya Allah ki Qasam mein to is ko Momin khayal karta hon, Rasool Allah saw ne farmaya balke tum Muslim kaho Musalman kaho Momin na kaho is bande ko Momin nahi kehna Musalman kehna hai. Main thori dair ke liye chup raha phir is ka islay hall janna chahta tha, maine apni bat ko phir dohraya arz ki Hazoor saw kya waja ap ne falan ko ata nahi farmaya Allah ki Qasam mein to usay Momin guman karta hon. Rasool Allah saw ne farmaya tum Momin na kaho balke Musalman kaho. Ye to hai Hadees e Mubarka ki bat is se bhi waze hota hai hai ke Momin aur Musalman mein farq hai, ab kya farq hai? Musalman jo hai wo zuban se kalma parhta hai aur zuban ki hi had tak rehta hai. Aur Momin usi Kalma ko dil mein utar leta hai, Musalman Allah ko manta hai aur Momin Allah ki Manta hai, Musalman Jannat ka talabgar aur Momin Allah ki Zaat Ishq e Ilahi ka Talabgar, Jab tak Allah Taala ka Zikr Dil mein nahi base ga us waqt tak Momin nahi kehlae ga balke aik sacha Musalman kehlae ga. 

Agar ap chahte hain ke ap Momin banen Hadees e Mubarka ki Roshni mein sirf Musalman na rahein kyun ke Musalmanon mein apas mein ikhtalafat hain jhagre hain. Aur Momin mein koi jhagra nahi hain kyun ke Allah ne Quran mein farmaya: hum ne tumhare dilon ko aik kar diya hai. Jahan dil Allah Allah karna shoro kar de to us ke dil mein bhi Allah aur us ke dil mein bhi Allah, phir kya ho ga phir sab apas mein bhi bhai bhai hain. To mere aziz dosto agar ap chahte ho ke ap bhi Musalman se Momin ban jain to phir koshish kiya karen ke apne dil ki darkhanon ke sath Allah ka zikr kiya karen

Post a Comment

0 Comments