Dajjal Ka Fitna Kaisa Hoga Nishaniyan Aur Mehfoz Rehne Ka Wazifa!!!
Dajjal Ka Fitna Kaisa Hoga Nishaniyan Aur Mehfoz Rehne Ka Wazifa, Aj jo bat karni hai wo Dajjal ki karni hai ke Fitna e Dajjal kaisa hoga, Dajjal ki Nishaniyan kya hain, Aur Dajjal ke Fitna se Mehfiz Rehne ke liye Islam mein koi Wazifa hai. Hum jis Dour mein Reh rahe hain ye Dajjali dour hai yani Dajjal ka Zamana hai, aur is waqt Dajjal aur us ki Fojein apna kaam kar rahi hain. Aur Ho Sakta hai ke ap jis ko Momin Pakiza samjh rahe hon wohi Dajjal ho, Dajjal ka Chehra tamam Waliyon ko dekha diya gaya hai, Is waqt jin masail ne pori Duniya ko ghera howa hai, har banda aho faryad kar raha hai aur ye sab Dajjal ka Fitna aur Dajjal ki waja se hai. Ab bat ye hai ke Ap khud ko Fitna e Dajjal se aur apni family ko Dajjal ka Fitna se Mehfoz kis tarhan rakh sakte hain. Fitna e Dajjal se bachne ke liye ya Dajjal ke Fitna se mehfoz rehne ke liye aik chota sa Wazifa hai, lakin Wazifa se pehle aik choti si bat karna chahta hon, Dajjal ki ye Nishani hai, ke Dajjal mashriq se Maghrib tak fil for safar kar le ga. Aur ye bhi yad rakhen Dajjal khud boht bara Alim hoga aur kharji hoga, Deen e Islam se kharij hoga, bazahir Dajjal ne Islam ka libada ore howe ho ga. Is ke opar Hadees hain, Mola Ali as ke dour mein Mola Ali as ke sath jinhon ne Jangen gi, jo ke Deen e Islam se kharij thay to Ap ne farmaya ke inhi groh mein aik groh aik fitna hoga jise duniya Dajjal ka Fitna ya Fitna e Dajjal ke naam se janti hai. Dajjal ki aik Nishani ye bhi hai ke Dajjal Makka mein nahi ja sakta aur na hi Dajjal Madina mein ja sakta hai, baqi duniya ki wo har jagah par ja sakta hai. Jahan Rab Taala ka Zaati Noor ho wahan Dajjal nahi aa sakta aur na hi us jagah koi Dajjal ka Fitna chal sakta hai, to is ke liye mere dosto koshish karo ke apne dil ki dharkanon mein Rab ke Noor ko basa lo, Allah ke Zikr ko apna lo, take Fitna E Dajjal se Mehfoz reh saken. Jis bande ke dil mein Ism e Allah ka Noor hoga us bande ke opar Dajjal ka zor nahi chalna. Quran e Pak mein Ata hai ke agar Fitna e Dajjal se mehfoz rehna ho go, Surah Al-Kehf, ki pehli 10 ayat ko dil se roz parho, take tum Dajjal ke Fitna se Mehfoz reh sako. Aur jis bande ke dil mein Allah ka Noor aa jaye to wo banda Dajjal ki Taqat aur quwat se bahir ho jata hai aur sath hi wo banda Dajjal ke kisi bhi Fitna mein nahi aa sakta. Aksar log pochte hain ke, Dajjal kab aayega? Aik Hadees mein Dajjal ke khurooj ki 4 Nishaniyan batai gai hain ke jab ye pori hon gi to Dajjal ka khurooj ho jay ga, to Dajjal ki us 4 Nishaniyon mein 3 Nishaniyan pori ho chuki hain aik baqi hai aur wo bhi jaldi pori hone wali hai aur wo nishani bhi boht tezi se pori hoti ja rahi hai, us ke bad Dajjal ne aa jana hai. Is duniya ka sab se bara Fitna aur is duniya ka akhri Fitna hi Dajjal ka Fitna hai. Agar ap Fitna e Dajjal se mehfoz rehna chahte hain to koshish kiya karo ke mere bhaiyo apne dilon ko Allah ke Zikr se Allah ke Noor se zinda aur javaid kar lo, aur apne dilon mein Allah ke zikr ko abad karo, isi surat hi ap Fitna e Dajjal se mehfoz reh sakte hain.
0 Comments