Header Notification

CHALO KARBALA CHALEN LYRICS ENGLISH TEXT - Arbaeen Noha 2021 | CHALO KARBALA CHALEN | Ali Raza Irani | Arbaeen Walk 2021 | New Noha 2021

 

Arbaeen Noha 2021 | CHALO KARBALA CHALEN | Ali Raza Irani | Arbaeen Walk 2021 | New Noha 2021
Video Details:
👉🏻Title : Chalo Karbala Chalen
👉🏻Reciter : Ali Raza Irani 
👉🏻Poet : Mazhar Lucknowi
👉🏻Composition: Ali Raza Irani 
👉🏻Backing Vocals : Rizwan Mirza & Team
👉🏻Audio Vocal: S K Studio
👉🏻Audio Recording : Owais Quraishi
👉🏻Mix/Mastered : M. Omar Qureshi (ODS)
👉🏻Camera : Hajari Films
👉🏻Video Edit : Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
👉🏻Label: Ali Raza Irani

Arbaeen Noha 2021 | CHALO KARBALA CHALEN | Ali Raza Irani | Arbaeen Walk 2021 | New Noha 2021 | Najaf To Karbala | Chehlum Of Imam Hussain (as) | Imam Hussain Noha | Arbaeen Walk | Chehlum Noha 2021 | Muharram 1443 | Nohay 2021


●● KALAM LYRICS ●● 

Karbala karbala 
Karbala karbala 

Sarwar ka arbaeen hai aai hai fatima 
Hai qafila najaf se chale suye karbala 
Charo taraf se aati hai paiham yahi sada 

Hussain walo chalo karbala chalen 
Qadam badhaye chalo karbala chale

Mila hai izne jari jina ki raah khuli 
Bula rahen hain tumhe hussain ibne ali 
Namaze shukr padho ke aa gayi wo ghadi 
Karo na der zara jahan ho chal do abhi 
Sharaf ye sarwar ne jo humko bakhsha hai 
Naseeb walon ko naseeb hota hai 
Durood padh ke kare ibteda chalen 
Suye hussain liye qafila chalen 

The muntazir hum sab isi safar ke liye 
Khuda ne hum ko chuna hai is safar ke liye 
Sanad ye kafi hai jina me ghar ke liye 
Ye sarfarazi hai hamare sar ke liye
Hussain ke dar paer karenge hum sajda 
Nabi bhi khush honge khuda bhi khush hoga 
Jhan hussain wahi hai khuda chalen 
Bala ho khatm dayare shifa chalen 

Na dhoop ki shiddat na hai koi khatra 
Saron pa saya hai duaye zahra ka 
Hai zayero ke liye sukoon bakhsh 
Jo khuld jayega hai ye wohi rasta 
Karen qayam jahan bicha ke farshe aza
Koi padhe majlis koi padhe noha
Amal ye karte huye rasta chalen 
Irada jitna hai usse siwa chalen 

Hain karbalai hum ghulam hain shah ke 
Mili hai izzat ye hussain ke dar se 
Adab se rauze par jhuka ke sar apne 
Kahenge sarwar se ye karbala jaa ke 
Jo aa nahi paaye unhe bula leeje 
Areezo par unke mohar laga deeje 
Kare hussain se ye ilteja chalen 
Yaqeen hai rad nahi hogi dua chalen 

Har ik hussaini ki ye aarzu hogi 
Kare ziyarat wo hussain ke dar ki 
Khabar ye rahat ki abhi hai hum ne suni 
Thi jo ziyarat par hati wo pabandi 
Hai karabala ke jo khule wo sab raste
Har aik raste par hai matami daste
Sada ye dedo sabhi bawafa chalen
Jo karbalai hain wo karbala chalen

Masheeh karna hai hame azadaron 
Najaf se meelon ke safar pa zawwaron
Chalenge paidal hum aye shah ke ghamkhwaro 
Karenge deedare jina wafadaro
Tum ashk aankho me sambhal kar rakhna
Hai dena zahra ko hussain ka pursa
Hai arbaeene shahe do sara chalen 
Azaa ki raah pa haq aashna chalen

Hai arbaeen uska hussain jiska hai naam 
Hai banda parwar jo humara hai jo imam
Jahan ko jisne dia humesha haq ka payam
Wo jiske sajde ne bachaya hai islam
Wohi jo deen bhi hai jo deen panah bhi hai 
Wohi jo shah bhi hai jo badshah bhi hai 
Usi ke naqshe qadam par sada chalen 
Ye azm karke hum ahle aza chalen

Bashar ki soorat me malak bhi aayenge 
Eram ke phoolo se haram sajayenge 
Haram se ghazi ka alam uthayenge 
Hussain ke rauze pa leke jaaynge 
Har aik qaum aati hai hazri ke liye 
Hussain ka dar hai khula sabhi ke liye 
Chalo aye mahdi o mazhar raza chalen 
Shuroo noori safar ho gaya chalen

Post a Comment

0 Comments