Ya hussain ya hussain har waqt ya hussain Lyrics Nohay 2021 New Noha 2021 Ali Raza Irani 2021 Title Noha New Nohay 2021 Ishqe Karbala Noha 2021

HAR WAQT YA HUSSAIN , SHAHADAT IMAM HUSAIN , SHAHADAT ABBAS IBNE ALI , MOHARRAM 2021 , KARBALA , NEW NOHA 2021 , IMAM HUSAIN NEW NOHA , MOHARRAM NOHAY, NOHA HAR WAQT YA HUSSAIN , AZADARI 2021 , KARBALA TO NAJAF , ALAM TAZIYA , IRANI NOHAKHWAN INDIA , IRANI NOHA
Nohay 2021 | Har Waqt Ya Hussain | New Noha 2021 | Ali Raza Irani 2021 | Title Noha | New Nohay 2021
Video Details:
Title : Har Waqt Ya Hussain
Reciter : Ali Raza Irani 
Poet : Mazhar Lucknowi
Composition: Ali Raza Irani 
Backing Vocals : Rizwan Mirza & Team
Audio Vocal: S K Studio
Audio Recording : Owais Quraishi
Mix/Mastered : M. Omar Qureshi (ODS)
Camera : Hajari Films
Video Edit : Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
Label: Ali Raza Irani

Ya hussain ya hussain har waqt ya hussain Lyrics Nohay 2021   New Noha 2021  Ali Raza Irani 2021 Title Noha New Nohay 2021  Ishqe Karbala Noha 2021HAR WAQT YA HUSSAIN , SHAHADAT IMAM HUSAIN , SHAHADAT ABBAS IBNE ALI , MOHARRAM 2021 , KARBALA , NEW NOHA 2021 , IMAM HUSAIN NEW NOHA , MOHARRAM NOHAY, NOHA HAR WAQT YA HUSSAIN , AZADARI 2021 , KARBALA TO NAJAF , ALAM TAZIYA , IRANI NOHAKHWAN INDIA , IRANI NOHA
Ya hussain ya hussain har waqt ya hussain KALAM  LYRICS  


Karbala karbala karbala 
Ya hussain ya hussain ya hussain 

Mera sukun hussain hai mera junoon hussain hai 
Hussain ka hoon mai ghulam hussain hai mera imam 

Ye karam hai ba khuda hussain ka 
Kar raha hoon mai jo sajdaye khuda

Ishq ye namaz se jo hai sada sajdaye hussain ka hai mojiza

Ya hussain ya hussain har waqt ya hussain 

Khoon ki har aik boond me hai ishqe karbala 
Dil me bhi ya hussain hai lab par bhi ya hussain 

Dil ke har waraq pa hai likha hussain 
Aur dhadkano me hai basa hussain 
Khalq ka imam hai mera hussain 
Ab na hoga koi dusra hussain 
Jainnate fida uski shaan par 
Uska hai karam is jahan par 
Jab talak jiunga mai kahunga ya hussain 

Sirf hai ye karbala se aashna 
Sunta hai ye bas hussain ki sada
Baat hai raaz ki mujhe pata 
Ye ghame hussain ka mojiza 
Ba wafa hai ye be wafa nahi 
Qalb me mere hai mera nahi
Jab bhi dil dhadkta hai kahta hai ya hussain 

Aala azeem hai rutba hussain ka 
Fakhre zameen hai rauza hussain ka 
Mujhko mila hai ye rutba hussain ka 
Mai noha khwan hoon maula hussain ka 

Naam me hussain ke ye shaan hai 
He me hikmato ka ik jahan hai 
Ye me yaa ali ka aasman hai 
Seen me karam ka saayban hai 
Aur noon hai noor ka nishan 
Name shaahe deen fakhre do jahan 
Deene mustafa ki ye sada hai ya hussain 

Shahe karbala hi mere shaah hain 
Shah me khgubiyan bhi be panah hain 
Ye karam ki faiz ki nigah hain 
Shah har ik sadi ki darsgah hain 
Aalime azeem shane bandagi 
Bemisal hai shah ki zindagi 
Jab qalam uthaya to likha hai ya hussain


Rahib aaya jab dare hussain par 
Aik manga saat use mile pisar 
Hur pa bhi karam ki shah ne ki nazar 
Bakhsh di khata diya jinah me ghar 
Tha sakhawato ka jo silsila 
Chaudah sadiyon baad bhi nahi ruka 
Be misal ye karam tera hai ya hussain 

Mai kya bataun hai kya kya hussain ka 
Jannat hussain ki kaba hussain ka 
Meraje deen hai sajda hussain ka 
Har daur me hai sar ooncha hussain 

Har jagha hussain matame hussain 
Sayae hayat parchame hussain 
Haq parast saare hamdame hussain 
Har khushi ka pasban ghame hussain 
Har maraz ki hai aik hi dawa 
Nuskhaye shifa khake karbala 
Hum sabhi ka sirf wazifa hai ya hussain 

Marziye hussain marziye khuda 
Hai jahan me khas inka martaba 
Hum ne jo bhi manga wo hume mila 
Rad nahi hui kabhi koi dua 
Kuch nahi tha jab tab hussain tha
Shah ke waste ye jahan bana
Khanaye khuda bhi kah raha hai ya hussain 

Jo nabi ki dosh ka sawar hai 
Wo hussain sahibe waqar hai 
Us ke har amal se hum ko pyar hai 
Sajdaye hussain yadgar hai 
Aaj bhi azan ki aan hai hussain 
Aur namaz ki jaan hai hussain 
Sab ne mana sab ne ye kaha hai ya hussain 

Sadiyon ke baad bhi ye gham hussain ka
Deta hai dil ko chain har gham ki hai dawa 
Farshe aza pe jo ik baar aa gaya 
Uski najat ki zamin hai karbala 

Hashr tak hai dar hussain ka khula 
Hur bula raha hai aye zamane aa
Ye sakhi hain bakhsh denge har khata 
Karbala me ab nahi koi bala 
Hain bahare ab thin jahan khiza 
Khul me jo hai hai wohi sama
Momino humara rahnuma hai ya hussain 

Jo dile hussain ke qareeb hai 
Dosti ki shan wo habeeb hai 
Haq parast naamwar adeeb hai 
Is jahan me sab se khush naseeb hai 
Hai jo shaan ki wo ye baat hai 
Aaj bhi habib shah ke saath hai 
Karbala me humne ye dekha hai ya ussain 

Mahdi mazharo raza ki hai dua 
Sab ghulame shaah jaaye karbala 
Jo bhi maange zayreen ho ataa 
Kul jahan pa ho karam hussain ka 
Har bala ho door is jahan se 
Har juloose gham utthe shaan se 
Aap se humari ilteja hai ya hussain

Post a Comment

0 Comments