Recited By | Mir Rehan Abbas
Kalam Title | Shabbir Ne Ro Ro Ke Pukara Ali Akbar (a.s)
Poetry By | Yasir Raza Yasir
Composed By | Nayyar Abbas Skardu
Chorus By | Mesum Zaidi & Team
Video | Raza Mahadi
Audio | LAWA Studio - Karachi
Creatives | Hasan Abbas
Media Partner | Ya Zehra (S.a) Tv - (@Ya Zehra TV Network - Bangalore )
Islamic Date | Muharram 1443H
Album | 2021 / 1443H
Shabir ne ro ro ke pukaara Ali Akbar Lyrics
●Shabir ne ro ro ke pukaara Ali Akbar
Yu’n chodh ke naa jaao khudaara Ali Akbar
●1. Ham jeete rahen aur tumhe Aaye shahadat, Kaisi hai qayamat
Baba ko nahi tere gawaara Ali Akbar
●2. Na Aun-O-Muhammed hain na Qasim hain na Ghazi, Kya aayi tabaahi
Ghar lut gaya pardes me saara Ali Akbar
●3. Ummat ke liye tum ne lutaayi ye jawaani, Aye yusufe saani
Ehsaan hai ye ham pa tumhaara Ali Akbar
●4. Jab teri shahadat ki Khabar paayegi Zainab, Marjaayegi Zainab
Phir dega use koun sahaara Ali Akbar
●5. Waarid hue Shabir jo laashe pa pisar ke, Dil thaam ke bole
Be Rehm tha jis ne tujhe Maara Ali Akbar
●6. Yasir kaha Sarwar ne ke dam tod rahe ho, Muu mod rahe ho
Ham jaan gaye tera ishaara Ali Akbar
Request For Surah E Fateha For MARHOOM MIR ABRAR ALI SAHEB
On the arrival of Muharram Many Condolences to Prophet Muhammad (Saww) and Hazrat Fatima Zahra (as) and Especially to Imam e Zamana (AJF).

0 Comments