Random Posts

Neend Agayi Kaise Baba Lyrics Sham e Ghareeban Noha 2021 | Neend Agayi Kaise Baba | Tejani Brothers | Bibi Sakina Noha 2021 | Muharram 2021/1443 | Muharram New Nohay 2021/1443 | Karbala | محرم 1443

 

Sham e Ghareeban Noha 2021 | Neend Agayi Kaise Baba | Tejani Brothers | Bibi Sakina Noha 2021
Recited - Tejani Brothers
Title Noha - Neend Agayi Kaise Baba
Poetry - Dr, Rehan Azmi (Late).
Audio - Pure Vocal Studio, UK & Lawa Digital Pakistan
Chorus - Own Rizvi & Team
Video & Editing - The Film Studio
Album - 2021 / 1443H
Video Optimization - Samar Jafri
Islamic Date Today | Muharram 1443H/2021

Sham e Ghareeban Noha 2021 | Neend Agayi Kaise Baba | Tejani Brothers | Bibi Sakina Noha 2021 | Muharram 2021/1443 | Muharram New Nohay 2021/1443 | Karbala | محرم 1443

Neend Agayi Kaise Baba Lyrics

neendh ke bojh sy jab hogayi(n) bojhal ankhen
khu(n) ke ansu sy hoti jati thi(n) jal thal ankhen
shiddate gham sy jali jaati thi(n) pal pal ankhen
laa i(n) bachi ko bil aakhir sare maqtal ankhen
baap ki laash pe roroke sakina ne kaha
aaj seene pe na kyun mujhko sulaya baba

mujhse pehle tumhe neend aagayi kaise baba

khaak bistar ki tarha bhaagayi kaise baba

jab talak bahon mei jhula na jhulalo mujhko
tum to sote na the jab tak na sulaalo mujhko
raat sy pehle hi neend aagayi kaise baba
mujhse pehle tumhe neend aga inyi kaise baba

x aapke halq pe khanjar ye chalaya kisne
daagh mujhpar ye yateemi ka lagaya kisne
ye to puchho main yaha(n) aagayi kaise bava

kaan zakhmi hai(n) lahu behta hai ankhen kholo
kya karu(n) jaau(n) kaha(n) kuchh to zuba(n) sy bolo
mere gulshan pe kHiza(n) chhagayi kaise baba

sirf khaimey hi nahi jalgaya daman bhi mera
doondhti phirti hu(n) sehra mei tumhara seena
tumko karbal ki zamee(n) khagayi kaise baba

thokarei(n) khaati huwi girti huwi aaayi hu(n)
ruKH pe baba main tamacho(n) ke nisha(n) laayi hu(n)
kya kahun aapko main paagayi kaise Baba

iss andhere mei sada aap nahi dete agar
kaise pehchaanti main aapki laashe be sar
meri KHushbu tumhe yaa(n) agayi kaise Baba

pyaas ka shikwa karun kisse koi paas nahi
aas thi jisse bohot baba wo abbas nahi
alqama humpe sitam dhagayi kaise baba

iss andhere mei kahi(n) sota hai asghar bhi mera
iss andhere mei mera bhayi to ddarta hoga
pyaas mei neend usse aagayi kaise baba

thak ke sote ho to sote raho main jaagungi
main hawaao(n) ka yaha(n) shor na hone dungi
ye faza tumko pasand aagayi kaise baba

x meri qismat mei ab to neendh ke aasaar nahi
dhoop hai gham ki kahi(n) sayaa-e-diwaar nahi
meri qismat mujhe tardpagayi kaise Baba

aik ik harf mei Tejani hai aaho zaari
khun hai KHamaa-e-Rehan sy aise jaari
har taraf gham ki ghata chagayi kaise Baba

Post a Comment

0 Comments