Nohay 2021 | HASSAN KE LAAL KA LASHA | Mola Qasim Noha 2021 | Ahmed Raza Nasiri New Nohay 2021
Video Info:
Noha | Hassan (a.s) ke laal ka lasha utha rahe hain Hussain (a.s)
Reciter | Ahmed Raza Nasiri
Poetry By | Zafar Abbas Zafar
Composition | Nayyer Abbas (Skardu)
Chorus | Arif Baltistani, Tariq Purkistani, Mir Basharat Baltistani, Ahmed Raza Nasiri
Audio Recorded By | ODS KARACHI
Director | Mahmood Ali Achoali
Cameraman | Amir Jokhio
Edit | Turab Zaidi
Translation | Sister Alisha Hassan Zaidi
Creatives | AR Graphics
Special thanks | Mashad Party
Hassan ke laal Ka lasha utha rahe Hain HUSSAIN Lyrics
Qadam Qadam pe Jo khud ko Gira rahe Hain HUSSAIN
HASAAN ke laal Ka lasha utha rahe hain Hussain
Gareeb kahte hain kis ko bata rahe hain Hussain
Hassan ke laal Ka lasha utha rahe Hain HUSSAIN
1.Khudaya dekhe na farwa sitaam Ka ye manzarr
Hazar tukroun me bikhara hai gul badan keh Kar
Abaa ko apni zameen par bichaa Rahe Hain Hussain
2.Mai tujh ko dhoondne jaoun Kahan bata qasim
Kahan Kahan se uthaaon badan tera qasim
Har ek qadam pe nazar ko jhukaa rahe Hain Hussain
3. Jo sar ko peet ke maqtal me rota hai sarwar
Har ek laash uthaii hai us ne kandhon pr
Naajane kaise ye lasha utha rahe hain Hussain
4. Sitaam hai aysa kahaa Sheh ne mar me jaoun GA
Har ek tukre pe tere pohonch na poun GA
Saddaen de ke badan ko bulaa rahe Hain Hussain
5.Adaa har ek thi qasim ki khud Hassan ki tarha
Badan bhi paara hai ab uska perahaan ki tarha
Tabhi Tu farwa se lasha chupa rahe Hain Hussain
5.Aye Shams Shah jo khaiimoo ki simt aata hai
Tu pusht e Shah se qasim Ka khoon tapakta hai
Nishaani bhai ki khaiimoo me laa rahe Hain Hussain

0 Comments