Nohay 2021 | अज़ा जीत गई वबा हार गई | Aza Jeet Gayi Waba Haar Gayi | Zain Fatehpuri | New Noha 2021
Reciter : Zain Fatehpuri
Poetry : Rizwan Karbalai * Fida Fatehpuri
Audio : Javed Azad, Meerut
Cinematography : Qasim Husain , Mohammad Husain
Editing And VFX : Syed Gauhar Abbas
Direction : Syed Qasim Husain
Global Released By : Gauhar Agency Lucknow.
Lyrics :
BISMILLAH HIRRHMA NIRRAHIM
SHAAN MERI...SHEH KI AZA
JAAN MERI....SHEH KI AZA
KHAAS ATA...SHEH KI AZA
GAM KI DAWA...SHEH KI AZA
Jeet gayi Jeet gayi Jeet gayi
Aza jeet gayi, waba haar gayi
Aza jeet gayi, waba haar gayi
Aa gya daher me phir maahe moharram dekho
Farshe gham bichne laga saj gaye parcham dekho
Taziya khano ka noorani hai aalam dekho
Karte hain ahle aza shaah ka maatam dekho
Wafa jeet gyi hawa haar gyi
Aza jeet gyi waba haar gyi
Karbala walo ka maidaan hai sheh ka maatam
Farsh pe takhte sulemaan hai sheh ka maatam
Ham ali walo ki pehchan hai sheh ka maatam
Fatema zahra s.a ka armaan hai sheh ka maatam
Dua jeet gyi dawa haar gy
Aza jeet gyi waba haar gyi
Haar mani hai kaha doure waba se hamne
Muh n moda kabhi sarwar ki aza se hamne
Leke jeene ka sabak karbobla se hamne
Mout ko maar diya khake shifa se hamne
Shifa jeet gyi hawa haar gyi
Aza jeet gyi waba haar gyi
Sab azadaaro pe Barsaake karam ki barsaat
Bakshi hai zaynabe kubra s.a ne aza ki Sogaat
Game shabbir me allah ne rakhkhi hai najaat
Hashr me maatmi honge shahe abraar ke sath
Jaza jeet gyi saza haar gyi
Aza jeet gyi waba haar gyi
Itne khuddar hai ham ashko se muh dhote rahe
Beej moula ki mohabbat ke sada bote rahe
Doure beemaari me apno se juda hote rahe
Karbala walo pe har haal magar rote rahe
Ana jeet gyi qaza haar gyi
Aza jeet gyi waba haar gyi
Fath jab kar liya beemaar ne khutbaat se ran
Dekhte reh gye sab deene khuda ke dushman
Kar ke zinda,n ke andhero ko aza se roshan
Moula sajjad ne hakim ki badha di uljan
Ziya jeet gyi jafa haar gyi
Aza jeet gyi waba haar gyi
Ye fasana nahi Nouhe ki hakikat samjo
Isko jazbaat nahi ajre risalat samjo
Pursa daaraane shahe di ki akidat samjo
zaino rizwan pe moula ki inayat samjo
Ata jeet gyi khata haar gyi
Aza jeet gyi waba haar gyi
0 Comments