Noha Imam Sajjad 2021 | Abid Ka Sar | 25 Muharram Noha 2021 | Imran Datoo | Shahadat Imam Sajjad
ABID KA SAR LYRICS
Sakina Kay Barabar Agaya Abid Ka Sar Haaye
kamar Itni Jhuka di Tauq Ne Chahe Na Uth Paaye
Qayamat Ka Safar Hai Karbala Se Shaam Jaane Ka
Sabab Ek Ye bhi hai Bimar Kay Sar Naa Uthane Ka
Phupi Ka Sar Khula Sajjad Se Dekha Nahi Jaaye
Lagaye Shimr Ne Jab Taziyane Pusht e Abid Per
To Ahl e Sham Se Baali Sakina Ne Kaha Rokar
Koi Jaaye Mere Ammu Ko Darya se Bula Laaye
Bhala Sajjad Se Kis Tarhan Dekha Jaaye Ye Manzar
Sinaa Ki Nok Per Baba Ka Sar Aur Maa Hai Be Chadar
Ye Kaise Gham Kay Badal Syed e Sajjad Per Chaaye
Sitam Ki Raah Mein Chal Kar Hue Pewast Jo Kaante
Sakina Ne Nikale Bhai Kay Paon se wo Kante
Ye Manzar Dekh Kay Har Ankh se Ansu Nikal Aaye
Gale Ka Tauq Wazni Hai Buhat Ghurbat Ye Kaisi Hai
Musalsal Khoon Behta Hai Gala Abid Ka Zakhmi Hai
Bhala Bimar Ka Kia Jurm Hai Koi To Batlaaye
Guzara Hai Ye Abid Ne Safar Zamjeer Mein Hokar
Jigar Phat Jaaye Na Sajjad ki Ghurbat Pe Ro Rokar
Dil e Zeeshan Aur Imran Ko Noha Ye Tarpaaye
0 Comments