Reciter | Syed Zain Ali Zaidi
Manqabat Title | Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Poetry | Zeeshan Abidi
Back Vocalist | Rizwan Mirza,Hasnain Mehdi
Event - 18th Zilhaj Jashan Eid-e-Ghadeer 1442 / 2021
Audio Mix & Master | Al Baqei Studio
Video & Edit | Zaidi Brothers
Creative | Abbas Haider
Label | ZB Records
Media Partner | Shia Online
Manqabat 2021 | Ya Ali Ya Ali Ya Ali | Zain Ali Zaidi | Jashan Eid-e-Ghadeer | Moula Ali
Manqabat Lyrics
Lo Hogaya Elaan ALI Un Wali Ullah
Hain Mazhar-e-Eeman ALI Un Wali Ullah
Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Ya Ali Ya Ali Ya Ali
1- Hajiyon se Bhara Khum Ka Maidan Tha
Khush Tha Koi To Koi Parishan Tha
Dast e Islam Mein Dast e Imaan Tha
Aur Muhammad Kay lub per ye Elaan Tha
Jiska Mola Hoon Main Uske Mola Ali
2- Sunke Elaan Munkir Machalne Lage
Shiddat e Bughz se Qalb Jalne Lage
Rang Chehron Kay Pal Mein Badalne Lage
Saans Rukne Lagi Dam Nikalne Lage
Jab Lagaya Gaya Naaar e Haideri
3- Dil Kay Arman Ashkon Mein Behne Lage
Chain Wale bhi Bechain Rehne Lage
Bughz e Haider ki Taqleef Sehne Lage
Sab Munafiq ye Apas mein Kehne Lage
Ab To Kehna Parega Humen Bhi Yehi
4- Khum Kay Maidan mein ab Suno Kia hua
Ya Ali Ya Ali Ashiqon Ne Kaha
Dekha Jab Unke Chehron ko Utra hua
Tab ye Salman o Buzer Huns Kay kaha
Q Parishan Hain Kia Hua Shheikh Jee
5- Manzar e Khum ki Sab Shan Takte Rahe
Ho Kay Khush Sab Musalman Takte Rahe
Kuch Parishan O Heran Takte Rahe
Aur Kuch Log Palaan Takte Rahe
kaise Bhagen Nahi Pass Palan Bhi
6- Zain Kay Sath Khush Aaj Zeeshan Hai
Zikr e Mola a.s Ali Meri Pehchan Hai
Main Guadeeri Hoon Ye mera Emaan Hai
Mere Dil Mein Wilayat ka Toofan Hai
Momino ki Hai Ye Eid Sab se Badi
0 Comments