Titel :- Safeer E Shah | Syed Arzoo Mehdi New Nohay 2021
Poet. :- Janab Abbas Naqvi Aurangabadi Sb.
Reciter :- Syed Arzoo Mehdi
Audio :- Raza Tirmazi
Camera :- Syed Kaif Zaidi & Zama Abbas Zaidi
Video Editor :- Sagar Mehdi Zaidi
Posted by :- Mehdi Channel
Safeer E Shah | Syed Arzoo Mehdi New Nohay 2021 | Hazrat Muslim bin Aqeel Noha
NOHA LYRICS
SAFEER E SHAAH KO MAARA GAYA HAI KUFE ME'N
HUI HAI ZULM KI YU'N IBTEDA HAI KUFE ME'N
Laqab ameer ka jisko Shahe Zaman ne diya
Jise safeer bana kar iraq ko bheja
Usi ka zulm se ab samna hai kufe me'n
Khatoot bhej ke Sheh ko bula rahe the sabhi
Hazaro'n logo'n ne baeyat bhi ki thi muslim ki
Gazab ke usko akela kia hai kufe me'n
Ye kaese log the muslim ka sath chhohd diya
Jo waada Shae se kia haey usko tood diya
Yu'n chand lamho'n me'n insa'n phira hai kufe me'n
Andheri raat hai muslim hai'n aur tanhaai
Do apne beto'n se bichda hai SHAAH ka bhai
Ghareeb jaye kaha'n sochta hai kufe me'n
Hui jo Subhe bapa ho gaya ajab mehshar
Aseer karne ko aaya hai zulm ka Lashkar
Oudo ne ghera hai zulm o JAFA hai kufe me'n
Lai'n ne katl garibul watan ka kar dala
Mahal ke dar pe gazab Sar ko haey latkaya
CHARAGH e HASHMI aese bhuja hai kufe me'n
Ujad ke reh gaya aakhir jaha'n rukiyya ka
Padar shaheed hua haaye jo aatika ka
Yu'n ghar aqeel ka Di'n par luta hai kufe me
Latakta kofe me'n dekha jo bhi ka wo sar
Tu roi'n Zainab e Kubra ye dekh kar manzar
Naya bahen ko ye sadma hua hai kufe me'n
Ye gam ki Daasta'n Abbas kis tarha likhkho'n
Padhe jo Aarzu Noha to sun ke rota raho'n
Hua ye saneha'n kitna bada hai kufe me'n
0 Comments