New Noha 2021 | Ab Kaisi Eid Jab Koi Apna Nahi Raha | Gulrez Raza Aghwanpuri Noha
LYRICS Roti thi or kehti thi ye binte fatima Ab kesi eid jab koi apna nahi raha, Akbar hai ab na qasimo abbase bawafa Ab kesi eid jab koi apna nahi raha,
Zinda se chhut ke jab mai mdine ko jaugi Sughra sai kis traha mai nigahe milagi Jab wo talab karegi kaha hai padar mera
Hasrat thi ma ki bete ko dulha bnaygi Ye kya khabar thi mout jawani mai aygi Akbar tumhre baad mera ghar ujad gaya
akbar tumhare baad andhera hai har taraf ranjo ghamo alam ka basera hai har taraf jo dil ka tha sukoon wo sahara nahi raha.
Muddat ke baad chhoot ke zinda sai ayi hun Shano pa nil dil mai ghme shaha lai hun Be jurm kat ayi hun zindan ki saza
Karbobala me ada nai kheme jala diye Tiflane ehlebet tadhpte hi reh gye Phir zalimo nai chhin li sar sai meri rida
Mashke sakina chid gai thangda alam hua Shane kata ke sogae abbase bawafa Zulmo sitam ki hogai sarwar pe intaha,
asim hamare gham ka madawa hai karbala Kehdo Raza tumhari to Duniya hai Karbala kano me hai basi hui zainab ki wo sada.
Comments
Post a Comment