Header Notification

Haan ghadeeri hoon mai haan ghadeeri hoon mai Lyrics - Eid E Ghadeer Manqabat 2021 - Ali Raza Irani | New Manqabat 2021 - Ghadeer 202 kalaam

Eid e Ghadeer Mubarak - 18 Zilhaj New Manqabat - New Manqabat 2021 - Ghadeer Manqabat New - Latest Manqabat - Rajab Manqabat - Shaban Manqabat - Manqabat Mola Ali - Ali Mushkil Kusha - eid e ghadeer me kya hota hai - Ghadeer Manqabat 2021 - how is eid al ghadeer celebrated - eid ghadeer night - ghadeer e khum in sunni books - eid e ghadeer sunni references - ghadeer e khum hadees - event of ghadeer in sahih bukhari - ghadeer e khum urdu - ghadir khumm hadith bukhari
Title : Ghadeeri Hoon Mai
Reciter : Ali Raza Irani
Poet : Molana Wasim Asghar
Composition: Ali Raza Irani 
Backing Vocals : Rizwan Mirza & Team
Audio Vocal: S K Studio
Audio Recording : Owais Quraishi
Mix/Mastered : M. Omar Qureshi (ODS)
Camera : Hajari Films
Video Edit : Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
Label: Ali Raza Irani
Haan ghadeeri hoon mai haan ghadeeri hoon mai Lyrics - Eid E Ghadeer Manqabat 2021 - Ali Raza Irani | New Manqabat 2021 - Ghadeer 202 kalaam

Eid E Ghadeer Manqabat 2021 | Ghadeeri Hoon Mai | Ali Raza Irani | New Manqabat 2021 | Ghadeer 2021
 
KALAM LYRICS 

Ali imame man asto manam ghulame ali 
Ali imame man asto manam ghulame ali 


Haan ghadeeri hoon mai haan ghadeeri hoon mai


Hai jo shane wali hai jo shane nabi 
Mera mola ali mera aqa ali 


Haan ghadeeri hoon mai haan ghadeeri hoon mai


Zulm ne chaha har lamha ye shola bayani ruk jaaye
Ishqe ali ke daria me jazbo ki rawani ruk jaaye
Jisse mohazzab hoti hai nasle insani ruk jaaye 
Ye baat magar na mumkin hai katti hai zaban to kat jaaye 
Ye khun bhi unka shaida hai har qatra iska bolega


Kis pe lagate ho pahra ye zikre ali lafani hai 
Pyar agar quran se hai ye baat bhi to quraani hai 
Kab ye huye hai poshida ye zaat to maani jaani hai 
Kis kis se ye nemat chinoge har samt ali ka charcha hai 
Masjid ne kaha mimbar ne kaha mehrab yahi gaaye naghma


Kitna haseen hai khum ka manzar sab mil jul kar kahte hain 
Vajd me aayate quraan hai jab ye payambar kahte hain
Zarre zarre kankar kankar haidar haidar kahte hain 
Ailane wilayat hota hai kuch chehre nikhre nikhre hain
Kuch chehre tab murjhane lage jab deene mohammad ye bola


Jo bhi payambar karte hain allah ki marzi hoti hai
Jo bhi payambar kahte hain wo vahiye ilahi hoti hai
Sab paigham khuda ka hai kab apne dil ki hoti hai 
Ye haq hai to phir iqrar karo haq goi ka izhar karo
Mankunto jo ahmad ne kaha darasl khuda ka hai kahna


Kon ye ishqe mola me sarshar dikhai deta hai 
Haan ye hayate abadi ka haqdar dikhai deta hai 
Daare sitam par misam sa jarrar dikhai deta hai 
Ye zikre ali hai zikre ali jazbo ko jawani deta hai 
Tum laakh zabane katoge har samt faza me gunjega


Hum hain ghulame haidar mola shane tawngar rakhte hai 
Hum ko usi se ishq hai jisse ishq payambar rakhte hain 
Bughze ali me jeene waale kaisa muqaddar rakhte hain
Jisko haidar se pyar nahi wo jannat ka haqdar nahi 
Jannat bhi unhi ki aashiq hai darwaze par likkha hoga


Munkire haidar soch zara kya haal tumhara tab hoga 
Dil pe qayamat guzregi ailane wilayat jab hoga
Manzare khum jalne waalo ko aur zara tadpayega
Mola mola haidar haidar sahra ki faza me gunjega
Ahmad ki nigahen dekhengi aur saath me too bhi bolega


Aao wasim is jashne wila me range wilai bharte hain 
Zikre ali ke saaye me tajdeede ukhuwat karte hai 
Farshe zami se aaj raza hum arshe bari par chalte hai 
Ahsaan hai rabbe akbar ka ye ishqe ali jo hum ko mila 
Wo waqt bhi ya rab jald aaye jab sara zamana bolega

HINDI MANQABAT LYRICS
अली इमामे मान अस्तो मनम गुलाम अली
 अली इमामे मान अस्तो मनम गुलाम अली


 हां ग़दरी हूं मैं हूं ग़दरी हूं मैं


 है जो शेन वाली है जो शेन नबी
 मेरा मोला अली मेरा आका अली


 हां ग़दरी हूं मैं हूं ग़दरी हूं मैं


 ज़ुल्म ने चाहा हर लम्हा ये शोला बयानी रुक जाये
 इश्क अली के दरिया में जज्बो की रवानी रुक जाये
 जिनसे मोहब्बत होती है नसले इंसान रुक जाये
 ये बात मगर न मुमकिन है कटी है ज़बान तो कट जाए
 ये खून भी उनका शैदा है हर कतर इसका बोलेगा


 किस पे लगते हो पहरा ये ज़िक्र अली लफ़ानी है
 प्यार अगर क़ुरान से है ये बात भी तो क़ुरानी है
 कब ये हुए हैं पोशिदा ये जात तो मानि जानी है
 किस किस से ये नेमत चिनोगे हर समत अली का चर्चा है
 मस्जिद ने कहा मिंबर ने कहा महरब यही गया नघमां


 कितना हसीन है ख़ूम का मंज़र सब मिल जुल कर कहते हैं
 वज्द में आया क़ुरान है जब ये पयाम्बर कहते हैं
 जरा जरा कंकड़ हैदर हैदर कहते हैं
 ऐलाने विलायत होता है कुछ चेहरे निखरे निखरे हैं
 कुछ चेहरे तब मुरझाने लगे जब दीन मोहम्मद ये बोला


 जो भी भुगतान करते हैं अल्लाह की मर्जी होती है
 जो भी पयाम्बर कहते हैं वो वही इलाही होती है
 सब पैघम खुदा का है कब अपने दिल की होती है
 ये हक है तो फिर इकरार करो हक गोई का इजहार करो 
 मनकुंतो जो अहमद ने कहा दरसल खुदा का है कहना:


 कोन ये इश्क मोला में सरशर दिखाई देता है
 हां ये हयाते आबादी का हकदार दिखलाई देता है
 दरे सीताम पर मिसम सा जरार दिखलाई देता है
 ये ज़िक्र अली है ज़िकरे अली जज़्बो को जवानी देता है
 तुम लाख ज़बाने काटोगे हर समत फ़ज़ा में गुंजेगा


 हम हैं गुलाम हैदर मोला शेन तौंगर रखते हैं
 हम को उसी से इश्क है जिससे इश्क पयाम्बर रखते हैं
 बुग़ज़े अली में जीने वाले कैसा मुक़द्दर रखते हैं
 जिसको हैदर से प्यार नहीं वो जन्नत का हकदार नहीं
 जन्नत भी उन्हीं की आशिक है दरवाजा पर लिखा होगा


 मुनकिरे हैदर सोच ज़रा क्या हाल तुम्हारा तब होगा
 दिल पे कयामत गुजरी ऐलेन विलायत जब होगा
 मंज़रे ख़ुम जलने वालों को और जरा तड़पेगा
 मोला मोला हैदर हैदर सहरा की फ़ज़ा में गुंजेगा
 अहमद की निगाहें देखेंगे और साथ में मैं भी बोलूंगा


 आओ वसीम जश्न विला में हैं रेंज विलई भारते हैं
 ज़िक्रे अली के साये में तजदीदे उखुवत करते हैं
 फरसे ज़मी से आज रज़ा हम अर्शे बारी पर चलते हैं
 एहसान है रब्बे अकबर का ये इश्क अली जो हम को मिला
 वो वक्त भी ये रब जल्दी आया जब सारा जमाना बोलेगा

Post a Comment

0 Comments