Header Notification

Bhabi ko meri qabr pe lana ali akbar Lyrics -Nohay 2021 Shabih Abbas Aarfi Nohay 2021 | Bhabhi Ko Meri Qabr Pe | Noha Shahadat Mola Akbar 2021

 

Nohay 2021 | Shabih Abbas Aarfi Nohay 2021 | Bhabhi Ko Meri Qabr Pe | Noha Shahadat Mola Akbar 2021

New Nohay 2021/1443 | New Noha Shabih Abbas Arfi | Bhabhi Ko Meri Qabr Pe Lana Ali Akbar(a)

Title - Noha Shahadat Hazrat Ali Akbar(a) 2021 | Nohay 2021 | Shabih Abbas Aarfi
Reciter - Shabih Abbas Arfi
Poetry - Zahid Ali Chitovi
Audio - ODS
Edit by - Azmat Hayder
Video & Production - @Azadari Chitora 

Bhabi ko meri qabr pe lana ali akbar Lyrics

Pura na kiya aapne Wada ali akbar
Takti hai behen aaj bhi rasta aaj bhi ali akbar

Main dekh na payi tera sehra ali akbar 
Ab maut ke nazdeek hai sughra ali akbar

Bhai ye wasiyat hai meri bhool na jana
Ja apni dulhan le ke watan Laut ke ana

Pardesh main gar byah rachana ali akbar
Bhabi ko meri qabr pe lana ali akbar

Yasrab jo kabhi laut ke ana ali akbar
Bhabi ko meri qabr pe lana ali akbar

Khwahish thi ki main aapki barat main jaati
Kubra ki sakina ki tarha neg main paati
Afsos na aya wo zamana ali akbar

Ta umr mujhy ab yehi afsos rahega 
Sughra to saja payi nahi aapka sehra
Turbat meri phoolen se sajana ali akbar

Maloom hai ye baat to tumko mere bhayya
Hasrat thi meri dekhungi main aapka sehra
Ye baat bhi tum unko batana ali akbar

Pardesh se jab Laut ke tum aaoge bhayya
Aur saath main dulhan ko bhi ghar laoge bhayya
Us dam jo mujhy ghar main na pana ali akbar

Hasrat thi ki main aapki dulhan se milungi
Lagta hai ye ab mujhko main zinda na rahungi
Marqad mera ab unko dikhana ali akbar

Kunbe ke sabhi logon ko wa janti hongi
Kubra ko sakina ko to pehchanti hongi
Kuch mere bhi bare main batana ali akbar

Zahid na hua byah na barat na sehra
Hamshakle payambar ke laga qalb pe neza
Kehti thi behen bhool na jana ali akbar

Post a Comment

0 Comments