Mojeza Esa Hua Matam e Zanjeer Kay Bad Noha Lyrics

Mojeza Esa Hua Matam e Zanjeer Kay Bad
Hogaya Dard Dawa Matam e Zanjeer Kay Bad

1) Kab Mery Lab Pay Faqat Dawa e Ya Laytani hai
Ishq Sabit B Kiya Matam e Zanjeer Kay Bad

2) Samnay Ankho Kay Thi Karbobala Or Hussain 
Koi Parda Na Raha Matam e Zanjeer Kay Bad

3)Mera Dil Mera Lahu Meri Ragein Mera Badan
Shukriya Kehna Laga Matam e Zanjeer Bad

4) Shukr Is Nemat e Uzma ka Tha Wajib Muj Per
Buss Mai Sajday Mai Jukha Matam e Zanjeer Kay Bad

5) Srf Khushnudiya e Zahra thi Mery Pesh e Nazar
Kab Koi Mangi Dua Matam e Zanjeer Kay Bad

6) Ungliyan Kat Gai Zakhmi Huwy Dandan e Awais
Han Magar Fatwa Utha Matam e Zanjeer Kay Bad

7) Mery Beto Kay Azadaro Sada Jeety Raho
Ai Zahra ki Sada Matam e Zanjeer Kay Bad

8) War Jitny b Aqeeday Pay Huwy Thy Muhsin
Bay Asar Sub ko Kiya Matam e Zanjeer Kay Bad

Post a Comment

0 Comments