Header Notification

13 Rajab New Manqabat 2021_Ali Zindabad Lyrics

 Lyrics...



Marziye huq ke khareedar ali zindabad

Nasere ahmed e muqtar ali zindabad


hai bana apka diwaan kalaam e baari

Aayate'n kehti hai'n har baar ali zindabad


poore qura'n ki tilawat ka jo lena ho sawab

Dekhle kehke bas ek baar ali zindabad


shak hai jin logao ko emaan e abu talib me 

Kaise bolengey wo kufaar ali zindabad


aagye 13 rajab ko jo ali kaabe me

Keh uthi kaabe ki diwaar ali zindabad


le gaya zikr e ali daar ki ounchai pa jab

Keh uthe mesum e tammar ali zindabad


jab bhi nara ye lagao ge toh hojayega

Nasle pakiza ka izhar ali zindabad


tukde batil ke agar karna ho maidaa'n me 

Tumhe 

Ye sada deke karo war ali zindabad


Huq ki awaz suni qhaaba o qousain pa jab

Bole be saaqta sarkar ali zindabad


sun ke anwar se teri madho sana shah e najaf

Bole ye saare wafadar ali zindabad

Post a Comment

0 Comments