Ye vo dariya hai jo bahta rahega
1:Ali ke naam par mangega jo bhi
Vo apni jholiya bharta rahega
2:Ali ka chahne wala hai jo bhi
Vo mar jaega to zinda rahega rahega
3:Qayamat tak zamane bhar me sikka
Ali ke naam ka chalta rahega
4:Ali ka zikr badhta ja raha hai
Muqassir ko yahi sadma rahega
5:Andheri qabr ke andar ujala
Charage ishq e haidar ka rahega
6:Ali ka ishq isme bas chuka hai
Mera dil khana e kaba rahega
7:Koi chautha kahe kya farq hamko
Ali pahla hai aur pahla rahega
8:Vo khaibar ho k maidan e ohad ho
Ali ki tegh ka jalwa rahega
9:Fana ho jaegi ye saari dunia
Faqat allah ka chehra rahega
10:Hamare sar pa ai shabroz o mazhar
Khuda ke sher saya rahega
