Raavi Ka yeh bayaan tha
Ujra hua yeh qaafila
Jab qaid hokay chaldiya
Maqtal sey aayi yeh sada
Aey Zainab e Gham Ashna
Yeh marka hai Shaam Ka
Haafiz tunhaara ho Khuda
Tum ho tumhaari Karbala x2
Zainab (sa) Aziz e Fatima (sa)
1.Behen thi yoon bhi khasta tan
Akhi ki laash bey kafan
Ujar gaya sabhi chaman
Bacha na koyi Gul badan
Dilaasa dey sakay inhay
Na aisa koi Bach saka
2.Ridaein un sey cheen kar
Kiya gaya barehna Sar
Phir uspe yeh sitam kiya
Phiraaya Haey Dar ba dar
Jhukaaey sar hai sharam sey
Karey ALI ki beti Kya
3.Jo pohchay Shaam mein Haram
Uthaaey har Qadam pay gham
Jari ki baa haya behen
Barhaaey kis tarhaan qadam
Jhukaaey sar Dua yeh ki
Ilaahi bhej day qaza
4.Saro pey sang maar kar
Hai shaad aaj Ehl e Shar
Yeh dekh kar phata na kyun
Ali ki beti ka jigar
Naa janay sabr kis tarhaan
Nabi ki aal ney kiya
5.Inhay sitam shiaar ney
Bataaya baaghi jis ghari
Sar e Hussain ro para
Sitam ki bijli gir pari
Qayaamat aur hogaai
Yeh dekh kar wahan bapa
6.Main Johar aisi mushkilain
Bayaan kis tarhan karoon
Yeh Hashim aisay bayn hai
Inhay main kis tarhan parhoon
Rawaan huay hai ashkay gham
Kalaam jisney yeh suna
0 Comments