Editors' Choice

AMMA NAH CHOR KAR JAO - NOHA LYRICS 2021


Amma Nah Chor Kar Jao
Amma Nah Chor Kar Jao

Hassnain Ka Nauha Humko Gale Lagao
Amma Nah Chor Kar Jao

Zaynab Pukari Ro Kar Aise Nah Tum Rulao
Amma Nah Chor Kar Jao

KisKe Sahare Amma Tum Chorti Ho Humko
Hum Kis Tarah Sahengy Iss Dard Naak Gham Ko
Do Kuch Dilasa Humko Jaldi Ye Labb Hilao

Amma Nah Chor Kar Jao

Darwaza Aap Par Jo Jalta Hua Gira Hai
Pehlu Pa Tumne Amma Ye Haath Jo Rakha Hai
Zakhmo Ko Apne Humse Iss Tarha Nah Chupao

Amma Nah Chor Kar Jao

Aye Amma Jaan Tumny Paala Hai Humko Jaise
Har Dum Khayal Apna Rakhega Kon Aise
Ab Kaise Hum Jiyengy Kuch To Zara Batao

Amma Nah Chor Kar Jao

Hai BeQaraar Zaynab Kehti Hain Bas Ye Rokar
Chora Hai Amma Tumny Mujhko Batao Kis Par
Beti Ko Apni Aise Furat Main Nah Rulao

Amma Nah Chor Kar Jao

Hain Maa Se Door Sarwar Rote Hain Bas Tarap Kar
Ab Khud Nah Aaunga Main Aye Amma Jaan Chal Kar
MujhKo Sada Laga Kar Tum Paas Main Bulao

Amma Nah Chor Kar Jao

Bande Kafan Jo Toote Phir Haath Aaye Bahar
Seene Se Mere Lagja Aaja Aye Mere Dilbar
Ye Kehke Mere Shero Ab Mujhko Nah Rulao

Amma Nah Chor Kar Jao

Johar Judaai Maa Se Aulaad Par Gara'n Hai
Jawad Maa Ki Furqat Iss Dil Main Bhi Jawa'n Hai
Humny Bhi Yeh Kaha Tha dil Se Hamey Lagao

Amma Nah Chor Kar Jao

Comments