Header Notification

Noha Bibi Fatima Zahra 2021 | Ayam E Fatima Noha 2021 Lyrics


Pasliya'n tut gayi'n, Haye Mohsin na raha, Aisa darwaza gira.
Kasie Batlau'n bhala, Aye Rasoole do sara, Jo sitam dhaya gaya.

Usne dunya ke ujale bhi kaha'n paye the.
Ma ke hatho'n ke niwale bhi kaha'n khaye the.
Mujhko ma kah na saka, Haye Masoom mera uspa bhi zulm kiya.

Pasliya'n tut gayi'n....

Mar gaya haye Musalmano ka itna ahsas.
Baba jaa'n Aapki ulfat ka bhi rakkha nahi paas.
Mera ghar luta gaya, Mujh pa darwaza gira, Ye diya mujhko sila.

Pasliya'n tut gayi'n...

Haye daali mere Shauhar ke gale me rassi.
Apne bachcho'n ka unhe wasta me deti rahi.
Maine girya bhi kiya, Wasta Rab ka diya, kuchh udu ne na suna.

Pasliya'n tut gayi'n...

Itni takleef me hatho'n ko uthau'n kaise.
Apne bachcho'n ko me me khana bhi khilau'n kaise.
Ma hu'n bachcho'n ko bhala, Kaise batlau'n jafa, Kis qadar zulm hua.

Pasliya'n tut gayi'n

Hay...
Apni Zainab ko me godi me utha sakti nahi.
Aur Shabbeer ko zanu pa bitha sakti nahi. 
Gham hai ye kitna bada, Sirf hai mujhko pata, Dard hota hai siwa.

Pasliya'n tut gayi'n...

Baith kar karti hu'n ab saari namazo'n ko ada.
Kitni takleef me hu'n janta hai mera Khuda.
Hath pahlu pe sada,
Rakkha rahta hai mera, Ab hai Aane ko qaza.

Pasliya'n tut gayi'n...

Hai ZAFAR aur SHARAR NAQVI qayamat ka ye gham.
Kaise alfaz me ho paye'n sabhi dard raqam.
Ghusl Haider ne diya, Zakhm jab unko dikha, Ro ke Maula ne kaha.

Pasliya'n tut gayi'n...

Post a Comment

0 Comments