LYRICS
*********
Tuti pasli ka dard pahlu me qatle mohsin ka dard sine me
Kya bataun main aapko baba paya zehra ne kya madine me
(1) Aag dar ki to bujh gai lekin
Kok meri abhi bhi jalti hai
Tees uthti hai qalb me baba
Jis ghadi mamta machalti hai
Kitni raaten guzar din maine dard sahne me ashk pine me
(2) reesma'n thi ali ki gardan me
phir bhi honthon pe shukre baari tha
Mere bachchon pe khauf tari tha
Ashk aankhon se unki jari tha
Goya dam ghut raha ho aye baba yun nahaye the wo pasine me
(3) main na jati jo us ghadi masjid
Tegh haider pe wo chala dete
Dar jalane ki baat kya baba
Aapka ghar bhi wo jala dete
Kis ko maloom tha ye kalma goh kitna dube hue hain kine me
(4) sun k bardasht kar na payenge
Zulm jheli jo aapki dukhtar
Aesi halat hui thi ghar me bhi
Raah chalti thi main asaa lekr
Aapke baad aye mere baba sirf 10 roz 2 mahine me
(5) kalma goyon ko aye mere baba
Dushmani aal se ye kaesi thi
Usko zalim ne qatl kar dala
Jiski surat abhi na dekhi thi
Sabira lakh aapki beti dil to hai maa'n ka uske sine me
(6) dekh kar is jale hue dar ko
Mujhko mohsin jo yaad aata hai
Main kaleja ko tham leti hun
Mera dil ab bhi kanp jata hai
Bas chuka hai musibaton ka jahan mere is qalb k khazine
(7) ya nabi aapki judai me
Ek din ek saal lagta hai
Pasliyan is qadar satati hain
Sans lena mohal lagta hai
Paas apne mujhe bola lije koi lazzat nii hai jine me
(8) aye shabih e rasool aye zehra
Aapko wasta hai nauhon ka
Likh ke asghar kalam kahta hai
Apne mohsin ka lijiye pursa
Jo hai zamin nijat ka sabki hmko rakhiye usi safine me
0 Comments