Hay Amma Hay Amma Zakhmo se choor hoke jo zahra guzar gain Ummat ne itne zulm kiye they ki mar gain Ye gham bada tha zainabo kulsoom k liye Aashoor tha ye zainabo kulsoom k liye. Kahan ho amma... Kahan ho amma.... Roke kahte rahe shabber kahan ho amma Hae kahan ho amma Ghash me hai zainabe dilgeer Kahan ho amma.. Hay kahan ho amma. 1_Laashe zahra se lipat kar yahi kahtey they Hussain Jaan balab hai meri humsheer kahan ho amma Hae kahan ho ammma. 2_Maa ki mayyat pe they ye zainabo kulsoom k baen Lut gai nana ki jaageer Kahan ho amma Hae kahan ho amma. 3_Saath kyuon chhor rahi hain mera Mohsin ki tarha Humse kya ho gai taqseer Kahan ho amma Hae kahan ho amma. 4_Zakhmi pahlu hi sahi sar pe salamat rahti Mit gai nana ki tasveer Kahan ho amma Hae kahan ho amma 5_Baba takraate hain dewaar se kyu sar apna Kis tarha badli hai taqdeer Kahan ho amma Hae kahan ho amma. 6_Lae taboot baqaiya me to bole shabbir Laashe shabbar pe hain ab teer Kahan ho amma Hae kahan ho amma. 7_Zerey khanjar tha Hussain ibne Ali ka nauha Halq pe hai mere shamsheer Kahan ho amma Hae kahan ho amma. 8_Ghame zahra me "Subuhi" wa "Zafar" ke aansu Qalbe Sarwar ki hain tahreer Kahan ho amma Hae kahan ho amma.
0 Comments