Shor al’aman ka utha kufe ki gali se
Hamla kiya jo toone shamsheere be kasi se
Quwwat agar na milti zainab ki zindagi se
Baare hayat hargiz uth’ta na aadmi se
Zainab (a.s) ne ye bataya darna na teergi se
Mit jayenge andhere takra ke raushni se
Tu yoon bicha gai hai bhai ka farshe matam
Jisko samet dena mumkin nahi kisi se
Jis din ke jaan di hai bachchon ne tere hans kar
Us din se dar gai hai khud maut zindagi se
Dunya se toone aakhir ye rasm hi mita di
Ab mangta nahi hai bai’at koi kisi se
Toofan se nichoda toone sukoone sahil
Dhale
Bibi tera karam hai har maa pa har bahan par
Ab cheenta nahi hai chaadar koi kisi se
Sadiyan huin pada tha zainab pa taziyana
Uth’ta hai shore matam ab tak gali gali se
Masoom hi se poocho masoomiyat kahan hai
Khud mashwere liye hain sajjad ne phuphi se
Aal e nabi keg ham se khaali hai jiska daman
Nisbat payam mujh ko kya aisi shayeri se
0 Comments