Ya janab e sayyeda
Ya janab e sayyeda
Ham azadaro,n ki aap se hai ilteja
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
Har husaini se rahe door har marz wa bala
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
waqt e imdad hai aafat ki ghadi hai
bibi mout bankar ke bala sar pe khadi hai bibi
Almadad fatima almadad Sayyeda
Jaaen ghamkhawar kahan aap ke dar ke sewa
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
Hai bahot paas me ab mah e aza shahzadi
Har azadar ye karta hai dua shahzadi
Almadad fatima almadad sayyeda
Ik ishara kardo door ho jaae waba
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
Jisne aulad bhi bechi hai moharram ke liye
Wo pareshan hai shabbeer ke matam ke liye
Almadad fatima almadad sayyeda
Jald imadad karo phir bichhe farsh e aza
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
Aap ko zainab e muztar ki qasam ya zahra
Kardo sarwar ke ghulamo,n pe karam ya zahra
Almadad fatima almadad sayyeda
bakhshdo aye bibi hai agar koi khata
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
hath our pair bahot mar chuki hai duniya
la dawa hai ye maraz haar chuki hai duniya
Almadad fatima almadad sayyeda
panjtan ka sadaqa dedo ab sabko shifa
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
Hamko maloom hai ham aye hain matam ke liye
hamko allah ne bheja hai isi gham ke liye
Almadad fatima almadad sayyeda
ye ibadat hamse hone pay na qaza
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
Ham agar aap ke bachcho,n ko na ropayenge
bakhuda chain se ik pal bhi na so payenge
almadad fatima almadad sayyeda
ab madad jaldkaro hai ye waiz ki dua
Ya janab e sayyeda. Ya janab e sayyeda
0 Comments