Header Notification

Hazrat Munawwar Ali Shaah Qaadri Biography

Hazrat Munawwar Ali Shaah Qaadri Biography
 

Hazrat Munawwar Ali Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi :
————-
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Aalam, Taajdaar-e-Ilahabad.

****************
Aap ki wilaadat 21 Ramazaan 491 Hijri (August 1098 A.D.) ko Peer ke roz Baghdad (Iraq) me hui.

Aap ke waalid ka naam Abdullāh hai.

Aap Hazrat Shaikh Junaid al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

****************
21 Zil Hijja 519 Hijri ko Itwaar(Sunday) ke roz baad namaaz e maghrib aap Hazrat Ghauṡ ul aazam Shaikh Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki baargaah me haazir hue aur bai’at se musharraf hue.
Ghauṡe aazam ke faiz se Aap ke dil ka aalam badal gaya. Aap Ghauṡe aazam ki baargaah me rehkar Peer ki khidmat karte rahe.


 
27 Shawwaal 541 Hijri Budh ke roz Zohar ki namaaz ke waqt Aap Ghauṡ e aazam ko wuzu kara rahe the. Aap ne arz kiya ke “Huzoor! Aabe hayaat ki kya haqeeqat hai jis ko peene se Hazrat Khizr alaihis salaam ko abadi zindagi haasil ho gai?”

Hazrat Ghauṡe aazam ne apne daahine haath me paani lekar irshaad farmaaya ke “Mere haath ke is ek ghunt paani me 650 baras ki umr hai. Lo ise pilo.” Aap ne Us paani ko pi liya.
ALLĀH ta’ala ne Ghauṡ e aazam ki dua ki barkat se aap ko 708 baras ki umr ata farmaai.

********************
Wisaal se pehle Ghauṡ e aazam ne Aap ko aur Hazrat Abdul Ghfoor Abdaal ko Hazrat Kabeer-ud-deen urfe Shaah Daula rahmatullāhi alaihi ko supurd kiya.


 
17 Rabi uṡ ṡaani 561 Hijri ko Hazrat Ghauṡe aazam ke wisaal ke baad aap Hazrat Kabeer-ud-deen urfe Shaah Daula rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehne lage.
16 saal tak Hazrat Shaah Daula ne ta’aleem e baatini farmai. 17 Rabi uṡ ṡaani 587 Hijri ko Asr ke waqt Kaifiyat e baatin ki takmeel farma kar Kulaah mubarak Aap ke sar par rakhi jo Hazrat ko Sarkar Ghauṡe paak radiy-Allāhu anhu se mili thi aur sabz Amaama baandha aur Khirqa e Khilaafat pehnaaya aur bahot se tabarrukaat ata farmae aur naseehat farmai ke “Jab Hazrat Makhdoom Ali Ahmad Saabir ka zamaana aaye to Dua e Hirze Yamaani aur Kulaah Mubarak ko apne paas rakhna aur deegar tabarrukaat Hazrat Abdul Ghfoor Abdaal ke saath Hazrat Makhdoom Ali Ahmad Saabir ke paas pahuncha dena”
Phir Hazrat ne Aap ko Ilahabad jaane ke liye farmaaya aur khud Gujrat (maujooda Pakistan) tashreef le gaye.

Ilahabad aane ke baad Aap aabaadi se door qayaam karke ibaadat wa riyaazat jaari rakhi.

Aur phir ta’aleem e deen karte rahe aur logo ko faiz ata farmaate rahe.

****************
Aap Hazrat Ghauṡ ul aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mureed hain.
Aap Hazrat Shaikh Kabeer-ud-deen Qaadri urfe Shaah Daula rahmatullāhi alaihi ke khalifa hain.
Hazrat Shaikh Jaageer rahmatullāhi alaihi ne Aap ko ‘Rifai’ silsila ki khilaafat ata farmai hai.


 
Aap ke khalifa Hazrat Shaah Mulla Aakhund Rampuri rahmatullāhi alaihi hain.

****************
Aap ka wisaal 3 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1199 Hijri (April 1785 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Himmat Ganj, Allahabad (Uttar Pradesh) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Munawwar Ali Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments