●Kis ne kab kalma parha-tha, Ye kahani phir sahi
Kon kab maidaan se bhaaga, Ye kahani phir sahi
●Fatima ke dar pe taarey ko utar-ta dekh kar
Kis ka kayse utra chehra, Ye kahani phir sahi
●Bas ye kaafi he Ali Khaybar ulat kar aa gaye
Kis ne kitna maal loota, Ye kahani phir sahi
●Zulfiqar e Haidary se bach gaya tha Amr-e-aas
Haan magar kayse bacha tha, Ye kahani phir sahi
●Umr bhar naraaz jis-se Binte Payghambar rahi
Us shaqi ka naam kya tha, Ye kahani phir sahi
●Mat karo aapas me jhagra, he ye paigham e Habib
Me huwa tha kayse zinda, Ye kahani phir sahi
●Jis asaa ke aasare par Umr bhar Moosa rahe
Us asaa par kya likha tha, Ye kahani phir sahi
●Parda e ghaybat se jab bhi aayega mera Imam
Kis ka pehle sar urhega, Ye kahani phir sahi
●Uss me ghayron ke nahi, apnon ke bhi naam ayenge
Kon he dushman Ali ka, Ye kahani phir sahi
●Kon tha meraj me Sajjad mehv e guftagu
Rehne do parde ka parda, Ye kahani phir sahi
0 Comments