Dost'on Yeh Saath (7) Hijri Ki Baat Hay
Jab Musalmano Ki Izzat Untalees (39) Din Say Khayber May Daoun Per Lagi Hui Thi
Aakhir Ash Dasht E Risalat Dua Kay Liye Buland Howey
Aur Lab E Risalat Per Wahi E Nayiq Kuch Unh Machalne Lagi
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Pehra Ilaahiyyat Pe Naad E Ali Ka Hai
Ek Khauf Mushkilaat Pe Naad E Ali Ka Hai
Saaya Ajaa’ibbat Per Naad E Ali Ka Hai
Ahsaan Kaainaat Per Naad E Ali Ka Hai
Hai Vird Dhadkano Ka Yahi Hai Ali Madad
Naad E Ali Simat Ker Bani Ya Ali Madad
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Adam Say Kar Raha Hai Safar Ya Ali Madad
Hai Murtaza Kay Zayr E Asar Ya Ali Madad
Taweez Hai Pahenlo Agar Ya Ali Madad
Karta Hai Mushkilaat Ko Sar Ya Ali Madad
Mahshar May Jab Namaz Bhee Daman Churdaigi
Bus Ya Ali Madad Ki Sada Kaam Aaigi
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Hai Saamnay Ki Baat Na Samja Ye Admi
Allah Ab Na Jism Tho Rakta Nahi Koi
Zaat E Khuda Nay Isliye Khud Ko Rakha Khafi
Dast E Khuda Ali Hai Lisan E Khuda Ali
Khud Azamaa Ke Deykho Nazar Aaingey Ali
Allah Madad Kaho Ge Magar Aaingey Ali
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Jo Faqr E Mustafa Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Naasir E Khuda Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Deen Ka Asraa Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Zinda Maujaza Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Khud Hee Mar Chukay Hai Wo Kaisay Bachaingey
Tum Hashr Tak Bulaatay Rahogey Na Aaingey
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Ali, Ali, Ali, Ali As
Jungle Pahaad Kahtay Hai “Naad E Ali Ali”
Mushkil Ko Meri Hal Karo Mushkil Kusha Ali
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Dam Dam Ali Ali Ki Aati Hai Jo Sada
Dil Kah Raha Hai Cherd Dun Khaibar Ka Waqiya
Ali, Ali, Ali, Ali As
Khaibar Mey Guunj Ti Hai Ye Salman Ki Pukaar
Lo Aagai Hai Haider E Karrar Hooshiyaar
Khush Aaj Mustafa Kay Sahabi Hai Beshumaar
Chuptee Hai Maut Run May Nikalti Hai Zulfiqar
Maidaan E Kaar E Zaar Mey Haider Utar Gaye
Jibreel Parr Samaitlo Warna Ye Parr Gaye
Sarr Sarr Chali Jo Tegh Tho Marhab Ka Sar Gaya
Marhab Gaya Tho Dil Say Sahaba Kay Darr Gaya
Do Ungliyon Say Uttah Sarro Say Guzar Gaya
Abtak Nahi Pata Dar E Khaibar Kidar Gaya
Aati Shikanj O Ghayz May Unki Jabeen Par
Phir Dar Tho Kiya Qila Bhee Na Milta Zameen Par
Palta Alam Jo Mir Takallum Wo Gaard Kay
Rak Dee Ali Nay Kufr Ki Basti Ujaad Kay
Kehnay Laga Ye Dast E Khuda Haat Jhaard Kay
Lo Aagai Hai Hum Dar E Khaibar Ukahaad Kay
Jitnee Bhee Aaj Jisko Zaroorat Hai Loot Lo
Talwaaray Chordo Maal E Ghanimat Hai Lootlo
0 Comments