●Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Ya Ali ya Ali ya Ali___ya Ali ya Ali ya Ali
Maula Maula Maula ya Ali___Maula Ali
●Ya shahe auliya waris e Mustafa,ya Ali Murtaza,ya Ali ailiya
Ya Ali ya Ali ya Ali ya Ali___Ali Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali Ali Ali___
Ali Ali Ali Ali Ali
●Koi nahi Ali jiya koi naee___jaisa mera maula wesa koo naee
Saqi e kosar,shafi e mehshar koi nahi hai tere baraber
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●13 rajab ko ab bhi kaaba hans ker kehta hai
Mai wo sadaf hoon,arsh ka gohar jis mai rehta hai
Mera qibla,mera kaaba,mera malik,mera aaqa
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Dar per apne taara bulaya,sooraj paltaya
Faaqe kerk,rizq jahan ko usne pohanchaya
Parh ker yeh Haider ka qasida,kehti hai khud Fatima zehra
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Gham mai nabi ne yeh farmaya,Haider Haider ker
Ban jaa momin parh le qalma,Haider Haider ker
Jo bhi kerle qabar se bahir,hoga teri qabar ke ander
Haider Haider Ali,Haider Haider Ali,Haider Haider Ali
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Pani aap darakht noon lake kehta si tayar
Ishq Ali di meesam keeti fir jari guftar
Jinni wari khanjar chalya,unni wari meesam dasya
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Qaid nahi hai is mai koi shiya sunni ki
Wajib hai her ik pe mohabbat mere bhai ki
Maan ke sub ye qol peghamber,dil se pukaro Haider Haider
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Azal se ik hee manzar hai meri ankhon mai
Mai khane kaaba kisi taraf dekhun
Tu khud bhi ishq ki majburiyan samajhta hai
Najaf se ankh hathe to teri taraf dekhoon
Shah e wilayat,shams e imamat,qasim jannat,qun ki haqiqat
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Shams,bhitai,sachal,bahu,khuwaja ajmeri
Maula tere naam ki maala japhat te hain sub hee
Karke dhamale wajd mai aker,kehta hai yeh lal qalander
Dama dam mast qalander,husaini lal qalander,Ali da pehla number
●Aflaq se layi jati hai,seeno mai chupai jati hai
Tauheed ki me sagir se nahi,ankhon se pilai jati hai
Saqiya saqiya saqiya aur pila,saqiya saqiya saqiya aur pila
●Har soorwan hawai khumar e tarb hai aaj
Bab e qabool wa hai muradon ki shab hai aaj
Dil mai khushi sarwar nazar mai ajab hai aaj
Saqi mujhe na cher k 13 rajab hai aaj
Rukh se naqab utha k naved zahoor de
Hazir hai dil ka jaam,sharab e tahoor de
Saqiyq saqiya saqiya aur pila, saqiya saqiya aur pila
●Wo me pila ke jismai nabowat ki bu mile
Jis ke nashe mai hushn e imamat ki khu mile
Adam ko jis se khoi hui aabru mile
Mai bhi piyun to mujh ko khuda ru ba ru mile
Wo me k jis mai subh e azl ka sarwar ho
Wo me k jis mai aal e muhammad ka noor ho
●Kal ke liye ker aj khast sharab mai
Yeh soi zan hai saqiye kosar k bab mai
Galib nadeem dost se ati hai bu e dost
Mashgool e haq hoon bandagi bu e turab mai
●Qum diyan gallan das k aekho kinda ae Salman
Minbar khas banao kite,le le sun palarn
Pak Nabi se bazu chaya Maula kon hai khud samjhaya
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
●Godh mai le kr qalma sunaya mir taqallum ko
Maa ne sabaq yeh pehla parhaya mir taqallum ko
Beta hamesha yaad yeh rakhna,mujh se ziada haq hai Ali ka
Koi nahi,koi nahi,koi nahi Ali jiya koi nahi
Jaisa mera maula wesa koi nahi
0 Comments