Haq mangti he Zahra, Majma He Baaghiyon ka, Baba tere watan me
Pardesiyon ki tarha haye, Rehti he ab ye dukhya, Baba tere watan me
1) Ab log Fatima ko, pehchaante nahi hain
Me aap ki hun beti, ye maante nahi hain
Koi nahi he mera haye, me reh gayi hun tanha, Baba tere watan me
2) Gham ye nahi he mujko, darwaza jal gaya hai
Iss se bara sitam toh, Zehra pe ye huwa hai
Dar jal raha tha mera haye, Koi na ghar se nikla, Baba tere watan me
3) Dar mujhpe zalimon ne, jalta huwa giraya
Me gir pari zameen par, ghash is tarha se aya
Mohsin jahan se guzra haye, pehlu huwa shikasta, Baba tere watan me
4) Me bhi khari huwi thi, Hasnain bhi khare the
Masjid me mere janib, sab log dekhte the
Ye zakhm na bhare ga haye, me ban gayi tamasha, Baba tere watan me
5) Koi salaam aakar, karta nahi tha pehle
Ab toh jawab dena, lazim nahi samajhte
Har shakhs bhool betha haye, rutba Abul Hasan ka, Baba tere watan me
6) Ghut ghut ke apne ghar me, aansu baha rahi hun
Har zakhm Murtaza se, apna chupa rahi hun
Khaya he taziyana haye, Zakhmi he mera chehra, Baba tere watan me
7) Fizza ke ab saharey, Me uth-ti bayth-ti hun
Kha kar tamacha jab se, me khaak par giri hun
Ye zulm mujhpe tuta, me ho gayi zaeefa, Baba tere watan me
8) Baba se woh Takallum, shikwa ye kar rahi he
Ummat ko Fatima se, kya jaane dushmani he
Ho raat ya savera haye, Turbat pe he andhera, Baba tere watan me
0 Comments