Header Notification

Ali Khamosh Baithe Hai | Ayyam e Fatimiya 2020/1441

ALI KHAMOSH BAITHE HAIN Zehra ko dafan kr ke jo haider e karrar aye. Sar ko jhukaye aasteen ulte ba hal e zaar aye. Daman phata howa hai giraibaan chaak hai. Sar par mazar e Fatima zehra ki khak hai. Ali khamosh bethe hen udasi ghr pe chayi hai. Bina madar ke bachu par ye pahli raat ayi hai. Kahin bistar pe muh dhaanpe hoye zainab siskti hai. Kahin kulsoom chupke chupke roti hai tadpti hai. K nanhin bachyun ke ashkun se bheegi chatayi hai Bina madar..... Jidhar bhi dekhte hain jaa'n nazar ati hai bchun ko. Daro deewar mai bas maa'n nazar aati hai bchun ko. Yeh naneh bachu ko taqdeer kis manzil pai layi hai. Bina madar....... Kahen kis se ali jo zakhm dil per khaye bethe hen. Kaleje se Hasan Hussain ko liptaye bethe hain. Haye mushkil kusha pe wqt ye mushkil kushayi hai . Bina madar ... Kbhi kulsoom ko dekha kbhi zainab ko behlaya. Kbhi sote hoye hasnain ke balun ko sehlaya. Kbhi pani pilakr Shah ko dharas bandhayi hai. Bina madar..... Kaha bachu ne ro rokr khudara ab tu ajao. thapak kr loriyan de kar hume amma sola jao. Batao aj tk tanha hume kiya nind ayi hai. Bina madar.... Kbhi lipte muslle se kbhi quran ko chuma . Kbhi nalain dekhi bistr e viraan ko choma . Kbhi tasbeeh maan ki ankhun se apne lagyi hai. Bina madar ..... Andhere sar patkte hen ujala kiyun nhi hota . Ye kesi raat ayi hai sawera kiyun nhi hota qasam is raat ne bhi aaj na dhlne ki khayi hai. Bina madar...... Jo ayi maan ki khusbo faraq pr ek saayeba'n lekr . Wo bache or bhi kuch roye ziyada hichkiyan lekr. Ali ne chaadr e zehra jo bchun ko udhayi hai. Bina madar..... Ali hasart se takte hain kbhi baitaab hote hain. Mere massom bache kis trha bin maan ke sote hain. Dohayi khaliq e akbar dohayi hai dohayi hai. Bina madar.... Musalsal raat bhar Aamir sbhi ke ashak behte the. Laga kar seene ae Aainee ali bachun ko kehte the. Tumhari maan se or humse qayamt tak judayi hai. Bina madar ke bachu par ye pehli raat ayi hai. Haye ghurabt e Ali. Haye ghurabt e Ali.

Post a Comment

0 Comments