●Aj baghdad mai koi qaidi,hogaya hai riha raza maula
●Tere baba ka zakhmi lasha,baghdad ke pul per rakha hai
Ya imam raza,ya imam raza,ya imam raza
●Aj baghdad mai koi qaidi,hogaya hai riha raza maula
Pul pe tere gareeb baba ka,hai janaza rakha raza maula
●Ik bibi sirhane bethi hai,kis ne jane use khabar ki hai
Hath pehlu pe apne rakhe hue aayi hai Fatima raza maula
●Raat se pul pe lasha rakha hai jo guzarta hai us pe hansta hai
Be basi per tumhare baba ki,ro rahi hai qaza raza maula
●Haal ache nahi hai mayat ke,aaja aijaz se imamat ke
Shehr e baghdad se madine ka hai bohat fasla raza maula
●Ik manadi nida ye deta hai,rafizyon ka maula maara gaya
Aaj aulad per Muhammad ki waqt kiya agaya raza maula
●Kabhi dadi ko yaad kerta tha,kabhi beti ko yaad kerta tha
Waqt e akhir tha us ke honton per,Fatima Fatima raza maula
●Qaid khane se pul talaq us ko,chand mazdoor le ke aye hain
Beriyon ke nishan gurbat ka,de rahe hai pata raza maula
●Touq gardab ka paon ki beri,yeh taqallum sadain dete hain
Inna lillah parh ke baba ka,ab janaza utha raza maula
0 Comments