Header Notification

Hazrat Khwaja Meer Sayyed Abdul Waahid Chishti Bilgrami


Hazrat Khwaja Meer Sayyed Abdul Waahid Chishti Bilgrami Biography

Hazrat Khwaja Meer Sayyed Abdul Waahid Chishti Bilgrami rahmatullāhi alaihi :
_________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sanad-ul-Muhaqqiq, Qutb-ul-Auliya.

****************
Aap ki wilaadat 915 Hijri (1509 A.D.) me hui.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Ibrāheem bin Sayyed Qutb-ud-deen hai.

Aap Husaini saadaat hain. Aur Hazrat Zaid bin Imaam Zain-ul-aabideen rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

Aap ke pardaada Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Sughra bin Sayyed Ali rahmatullāhi alaihi Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ke mureed o khalifa the aur Sultaan Altamash ke zamaane me Wasit (Iraq) se Hind me tashreef laaye the. 614 Hijri (1217-18 A.D.) me Sultaan ne Hazrat ko lashkar ke saath Bilgram bheje. Bilgram fateh hone ke baad Hazrat wahi sukoonat pazeer hue.

****************
Aap ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
 
****************
Aap apne zamaane ke Ahle Shariat wa Ahle Tareeqat ke Imaam the.
Aap ne puri zindagi ibaadat wa riyaazat me aur ta’aleem wa tarbiyat ke zariye logo ki islaah karne me guzaari.

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Saba-e-Sanaabil
(2) Haqaa’iq-e-Hindi
(3) Munaazar-e-Anba
(4) Tafseer-e-Mufiz-ul-Mohabbat
(5) Sharah-e-Kaafiya
(6) Sharah-e-Gulshan-e-Zar
(7) Sharah –e-Mustalihaat
(8) Makaateeb-e-Ṡalaaṡah
(9) Saaqi naama
(10) Deewaan-e-Satar.

****************
Maulana Sayyed Ghulaam Ali Aazaad ‘Manaaṡar-ul-Kalaam’ me byaan farmaate hain ke : “Main Ramazaan-ul-mubarak me 1135 Hijri me ek martaba Hazrat Khwaja Kaleemullūh Shaah Jahanabadi rahmatullāhi alaihi ki ziyarat ke liye Delhi gaya. Guftagu ke dauraan Meer Sayyed Abdul Waahid Bilgrami rahmatullāhi alaihi ka tazkira hua to Hazrat der tak Meer Sayyed Abdul Waahid Bilgrami ki ta’areef aur un ke haalaat bayaan karte rahe aur farmaaya ke Madeena munawwara me qayaam ke dauraan ek raat ko main sone ke liye laita. Khwaab me dekha ke main aur Sayyed Sibgatullāh Baruchi saath saath Huzoor Rasoole akram sallallāhu alaihi wa sallam ki majlise aqdas me haazir hain. Sahaaba e kiraam aur Auliya e kiraam ki jama’at maujood hai. Un me ek aisa shakhs bhi hai jis ke saath Sarkaar sallallāhu alaihi wa sallam muskurakar guftagu farma rahe hain aur puri tarah us ki taraf mujawajjeh hain. Jab majlis khatm hui to maine Sayyed Sibgatullāh se daryaaft kiya ke ‘Yeh kaun saahab hain ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jin ke saath is tarah mutawaajeh hain?’ Unho ne kaha ke ‘Yeh Abdul Waahid Bilgrami hain.’

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek martaba ek shakhs chori karne ke iraade se Aap ke kashaana me dakahil hua. Kaafi talaash ke baad use sirf ek lota mila. Jaise hi woh lota uthaakar baahar jaane laga woh andha ho gaya. Puri raat darwaaza tatolta raha lekin na mila. Fajr ki azaan ke baad namaaz ada karne ke liye Hazrat tashreef laaye to Aap ne puchha “Tum kaun ho aur yaha kaise aaye?” Us chor ne saari baat bataai. Aap ne farmaaya “Zara is taraf ghumo.” Ghumte hi uski binaai waapas aa gai. Aur phir Aap ke kehne par woh chor waha se chala gaya.

****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya, 5 saahabzaade aur 3 saahabazaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Sayyed Abdul Jaleel
(2) Sayyed Firoz
(3) Sayyed Yahyā
(4) Sayyed Ibrāheem
(5) Sayyed Tayyab (Sajjaada naheen).

Saahabazaadiya :
(1) Bibi Maryam
(2) Bibi Shaahi
(3) Bibi

*****************
Aap Hazrat Makhdoom Shaah Safi Abdus Samad rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.
(Hazrat ke khalifa) Hazrat Shaikh Husain Muhammad Sikandarabadi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Meer Sayyed Abdul Jaleel Bilgrami rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Meer Sayyed Tayyab Bilgrami rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Meer Sayyed Yahyā Bilgrami rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Meer Sayyed Firoz rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 3 Ramazaan 1017 Hijri (11 December 1608 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Bilgram me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Meer Sayyed Abdul Waahid Chishti Bilgrami rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments