●Haye haye haye haye
●Jo dard Fatima ne Ali se chupaye hain
Tanhai mai kaneez ko apni sunaye hain
Batool ro pari Fizza ko yeh batate huye
Hassan ne dekha hai mujh ko tamache khate huye
●Na jane kya kiya zalim ne Fatima pe sitam
Zaeef hogayi beti Rasool ki ik dam
Sanad ke tukron ko darbar mai uthate huye
●Mai aj shehr e madina ko hee mita dungi
Agar Ali ko na chora to bad dua dungi
Kaha Batool ne sar se rida hatate huye
●Jo mujh pe guzri hai mujh se na ho sake gi bayan
Wo dekho ab bhi hain deewar per lahu ke nishan
Mai dekhti hun inhein roz ate jate huye
●Bataya sab ko jo mafhoom hai wilayat ka
Labon pe sikhwa na bint e Rasoom ki aaya
Ali Ali hee kiya tazyane khaye huye
●Wo mujh se chup ke meri be qasi pe rota hai
Khayal rakhna yeah nazuk mizaj beta hai
Mere janaze se Shabbir ko hatate huye
●Abal Hassan ko tha patke se mai ne thama hua
Magar laeen ne durre se yun mujhe mara
Zameen pe gir gayi Fizza mai larkharate huye
●Ba roz e hashr mai Mehdi ko yeh bataogi
Tamam pasliyan tooti hain is liye meri
Laeen ne mara tha thoker se,aate jate huye
●Mera fariza nibhaye gi ladli meri
Ghare ka shahlon mai jis waqt aik aur Ali
Chale gi aag pe Zainab use bachate huye
●Pidar ki qabar pe Akber wo ro ke kehti thi
Hifazat aap ne mujh ko Ali ki sonpi thi
Tamache mai ne hain khaye unhein bachate huye
0 Comments