Header Notification

Nohay 2019 | Jari Ke Khak Par Bazu Pade Hain | Noha Mola Abbas (2019)

( kya aalam e gurbat hai)

Jari ke khaq par bazu pade hain
Qamar thame hue sarwar khade hain

1) sakina se they kuch manoos itne
Lage hain teer mashiqizey par jitne
Wo sab abbas ke dil mai gade hain

2) na pucho haal e akbar hmara
Badan zakhmi hai be hathon ka sara
Chacha kitne masayab se lade hain

3) dilasa pyas ke maaron ko dene
Chalo abbas hum aaye hain lene
Tumhare muntazir bache bade hain

4) na le jana meri mayyat yaha se
Waisyat sunke ammu ki zuba se
Ali akbar tadap kar roo pade hain

5) mai ab pani nahi ansu peeyungi
Chacha aajayea kaise jiyeungi
Mera nanha sa dil hain gham bade hain

6) rida ab bhai ke shano par dalo
Na tadpo aye bahen khudko sambhalo
Tumharey imteha'n issey kadey hain

7) ghulami ka tha wada apni maa se
Kahen abbas bhai ki zaba se
Magar iss bat par sarwar adey hain

 ruke kab aamir o akhtar ye ansu
Bohot yaad aaye ek saqqey ke bazu
Masayab jab bhe ghazi ke padhe hain

Post a Comment

0 Comments