Header Notification

Nohay 2019 | Haye Alamdar Haye Alamdar | Noha 2019 | Mola Abbas Noha

●Haye Alamdar haye Alamdar

●Karte hai matam Abbas ka
Hogya marna sitam Abbas ka
Haye Alamdar haye Alamdar

●Kehte the qamar tham ke yeh Seyyed e abrar
Haye Alamdar haye Alamdar

●Yeh haal hai lashe ka sambhala nahi jata
Teer ankh se bhai ki nikala nahi jata
Imdad ko ajaiye Ya Haidar e Karar

●Zainab ne teri aas pe chora tha madina
Mai kese bataon use saqqa e Sakina
Mara gaya Zainab teri chadar ka nighedar

●Tum qatal hui hum pe bhi yeh chal jaigi shamsheer
Agyar mai reh jaigi tanha meri hamsheer
Zainab ki rida bachne ke baqi nahi aasar

●Jis tarha ghar laye the masjid se Ali ko
Us tarha se le jainge khemay mai jari ko
Akber mere bhai ka janaza karo tayar

●Bazoo bhi qalam hogaye aye bazuye Shabbir
Tukray hai badam abkhon mai pe wast hua teer
Kis ne ye meri maa ki duaon pe kiya waar

●Aati hai sadaa loot lo namoos e Nabi ko
Ab marna asaan hai Hussain ibn e Ali ko
Marne pe tere jashan manate hai sitamgar

●Akber hamain mushkil se bohat layein hain bhai
Maidan mai girte hui hum ayein hain bhai
Ankhein to zara kholo mere munis o ghamkhuwar

●Ik baat tumhain karb ki batlata hun bhaiya
Jab bhi koi masooma ke marega tamacha
Ro ro ke pukare ge Sakina tumhain har baar

●Tha mir taqalum yahi Shabbir ka noha
Jate hui pura karo armaan hamara
Aye bhai hamain bhai pukaro zara ik baar

Post a Comment

0 Comments