Ya Hasan, Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Ya Qatilay Jafa Haey Ghareeb Hussain (X2)
Haey Ghareeb Hussain
Kaata Gaya Hay Dasht May Ik Bhai Ka Galaa
Behanoo Kay Saamney
Khanjer Talay Hussain Nay Ghazi Ko Di Sadaa
Behanoo Kay Saamney
Wo Jaanta Hay Aalay Nabi Hay Khari Hui
Quraan Pey Paaoun Rakhta Hay Zalim Ghari Ghari
Zulfen Pakar Kay Shah Ki Hansta Hay Bey-Haya
Behanoo Kay Saamney
Khanjer Wo Kund Aur Wo Sokhi Hui Raagen
Chup Chaap Sehli Bhai Nay Saari Aziyaten
Majboriyun Nay Sheh Ko Tarap Nay Nahi Diya
Behanoo Kay Saamney
Baba Ko Marta Hay Wo Doolat Kay Waasty
Hay Jisky Pas Ju Mere Daman May Daal De
Pehla Kay Haath Deti Hay Bachi Koi Sada
Behanoo Kay Saamney
Akber Ki Laash Uthai Hay Asghar Ki Laash Bhi
Qasim Kay Tukrey Dekhen Hain Abbas Kay Kabhi
Ik Bar Qatal Kab Hua Zahra Ka Laadla
Behanoo Kay Saamney
Kese Bachane Bhai Ko Wo Bhai Aayega
Zainab Pukari Ab Usey Koi Naa Dey Sada
Sharminda Hoga Dasht May Abbas E Ba-Wafa
Behanoo Kay Saamney
Sheh Keh Rahy Thay Daal Do Chadar To Jism Per
Mujh Per Paray Na Zainab-O-Kulsoom Ki Nazar
Tay Kese Hoga Qatal Ka Amma Yeh Marhala
Behanoo Kay Saamney
Her Beti Buturaab Ki Yeh Dekhti Rahi
Do Bhaiyun Pey Kesi Qayamat Guzar Gai
Ik Kay Badan Pey Teer Thay, Teeero Pey Aik Tha
Behanoo Kay Saamney
Thaa Karbala Kay Ban May Takallum Ajeeb Haal
Apney Laaho May Laal Hua Fatima Ka Laal
Sajday Say Sir Hussain Ka Neizey Pey Agaya
Behanoo Kay Saamney
0 Comments