Haey Haey Ali Akber,
Haey Haey Ali Akber
Haey,
Barchi Nikalney Lage Jab Shah E Karbala
Aawaz Maa Ko Dey Kay Yeh Mazloom Nay Kaha
Hay Aapkey Hussain Ki Ghurbat Ka Imteha'an
Amma Madad Karo
Kese Nikalo'n Seena E Akber Say Main Seena'h

Bardasht Kis Tarhan Say Yeh Kar Payega Hussain
Betey Kay Saath Dasht May Mar Jayega Hussain
Karyal Jawa'an Ragarta Hay Maqtal May Aeriya'an
Amma Madad Karo
Afsoos Aa Na Paya Main Isko Utarne
Zeenh Say Giraa Diya Isay Neizey Kay Waar Nay
Tooti Hay Aapki Tarha'an Akber Ki Pasliya'an
Haey, Amma Madad Karo
Akber Kay Sath Sath Mera Dil Bhi Chhid Gaya
Uthta Nahi Hay Haath Tumharay Ghareeb Ka
Pehlay Mere Kaleejay Say Tum Kheecnh Lo Seena'h
Amma Madad Karo
Haey Paala Hay Jis Nay Naazo'n Say Hay Intezar May
Chadar Na Bhool Jaye Wo Akber Kay Piyaar May
Aray Zainab Ko Rook Lo Kahin Aajaye Na Yahaan
Amma Madad Karo
Haey, Aati Hay Sharam Baap Ko Betay Kay Samney
Ankhon Pey Rakhdo Haath Dikhayei Na Dey Isay
Haey Rootey Zae'ef Baap Ko Dekhey Na Nu-Jawan
Amma Madad Karo
Amma Ghari Yeh Kesi Ajab Imteha'an Ki Hay
Do De-Kaso'on Kay Haath May Maiyat Jawan Ki Hay
Haey Pehlu Shikasta Aap Ka Meri Kamar Kamaa
Amma Madad Karo
Haey, Tooti Hui Kamar Hay Meri Mera Saath Do
Main Chahta Hun Khaimey May Akber Ko Lay Chalo
Aray Zinda To Dekh Lay Isay Ik Baar Iski Maa
Amma Madad Karo
Pohancha Kay Laash Shah Nay Takallum Di Yeh Sadaa
Zainab Jo Mujh Say Pochegi Kiya Main Bataounga
Aray Mujh Say Na Hogi Tum Hi Shahadat Karo Baya'an
Haey Amma Madad Karo

0 Comments