Haye Ali Akbar, Haye Ali Akbar
Bole Shabbir meri jaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Jisme nazuk pe itne zakhm lage
Khoon behta he tere seene se
Sochta hun ke kya bataunga
Kayse khayme me le ke jaunga
Puch le gar tumhari maa Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Who pierced you with a spear, Akbar?
Sun rahe ho meri sada ko agar
Ankhein kholo padar fida tum par
Dum hamara ukhar ne lagta he
Saans mera bhi ruk ne lagta he
Tum jo le te ho hichkiyaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Aysi halat jo dekh-ta hun me
Zakhm gin gin ke ro raha hun me
Kis ne barchi ka phall utaara he
Kis ne seene pe waar mara he
Kuch toh humse karo bayaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Tum ne jab aakhri sada di thi
Meri ankho me roshini na rahi
Aysa sadma he ye mere beta
Tum jo rahvaar se girey beta
Gir parha hum pe aasmaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Baat ye bhi suno qayamat ki
Tere marne ki jab khabar he suni
Mujh ko Fizza ne ye bataya he
Ghar me Zainab ka dam nikalta he
Jaan dete ho tum yahaa Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Tum bhi Meesum sada parho nauhay
Aur tum bhi Raza likho nauhay
Soz e gham aur bhi siwa kije
Sharf-e-maqbooliyat ata kije
Hum tumhare he nauha khwan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Bole Shabbir meri jaan Akbar
Shabbir said, my beloved Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Bole Shabbir meri jaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Jisme nazuk pe itne zakhm lage
Khoon behta he tere seene se
Sochta hun ke kya bataunga
Kayse khayme me le ke jaunga
Puch le gar tumhari maa Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Who pierced you with a spear, Akbar?
Sun rahe ho meri sada ko agar
Ankhein kholo padar fida tum par
Dum hamara ukhar ne lagta he
Saans mera bhi ruk ne lagta he
Tum jo le te ho hichkiyaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Aysi halat jo dekh-ta hun me
Zakhm gin gin ke ro raha hun me
Kis ne barchi ka phall utaara he
Kis ne seene pe waar mara he
Kuch toh humse karo bayaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Tum ne jab aakhri sada di thi
Meri ankho me roshini na rahi
Aysa sadma he ye mere beta
Tum jo rahvaar se girey beta
Gir parha hum pe aasmaan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Baat ye bhi suno qayamat ki
Tere marne ki jab khabar he suni
Mujh ko Fizza ne ye bataya he
Ghar me Zainab ka dam nikalta he
Jaan dete ho tum yahaa Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Tum bhi Meesum sada parho nauhay
Aur tum bhi Raza likho nauhay
Soz e gham aur bhi siwa kije
Sharf-e-maqbooliyat ata kije
Hum tumhare he nauha khwan Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
Bole Shabbir meri jaan Akbar
Shabbir said, my beloved Akbar
Kis ne maari tumhe sina Akbar
0 Comments