Header Notification

Mai Fans Film Hussein Noha 2019:1441


....Peshawaii.......
Ho Jang Esi Kay Razi Hon Fatima as Ran Mai,
Har ik Shaeed Yeh Kehta Hua Gaya Ran Mai.
..............................
Mai Fana Fil Hussain as Hon Mai Fana Fil Hussain Hon
Sad Shukr e Kibriya
Zahra ki Hon Dua
Mai Fana Fil Hussain Hon.
..............................
1) Mujko Yazeed Zaday Daraye Na Moat Say
Jeeta hon Mai Hussain Pay Marnay kay Wastay
Hazir hai Sir Mera..Zahra ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
2)Khaliq ki Marziyo  Ka Khazana hai karbala
Ashoor Say Khuda Ka Thikana Hai Karbala
Kehti Hai Karbala..Zahra ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
3)Sun Kay Azan e Subha Yeh Nara Labo Pay Tha
Maa Baap b Pisar b Mera Ap per Fida
Yeh Keh Kay Hur Chala..Zahra ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
4)Bint e Ali as Ka Sath Nibhao ki Har Gharri
Is Din kay Wasty hi tu Mangi thi Zindagi
Fiza as nay Di Sada.. Zahra as ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
5)Darya Pay Bawafaa kay jo Bazo huwy Qalaam
Pyaso ki Maskh Chid Gai Thanda Hua Alam
Kehta tha Bawafaa as .. Zahra as ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
6)Mai Longi Inteqam Har ik Tishna Kaam ka
Mujko Safar Qubool Hai Bazar e Sham ka
Hon Bint e Lafata as Zahra as ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain hon
..............................
7)Akbar Pukaray Barchi Ko Seenay Pay Roak Kay
Khud Ko Gira Kay Jhulay Say Basheer Keh Uthay
Rehna Khuda Gawah..Zahra ki hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
8) Us kirdigar e Sabar ki Aqaas Ban Gai
Bazar Mai Ruqiya as b Abbas as Ban Gai
Kehti Thi Bay Rida.. Zahra as ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon
..............................
9) Muhsin Namaz e Ishq ka Jab Say Khula hai Raaz
Zanjeer ko Qama ka ho Matam ho Ya Namazz
Hogi na Ab Qaza.. Zahra ki Hon Dua Mai Fana Fil Hussain Hon

Post a Comment

0 Comments