Header Notification

Mai Dekhti Rahi Sir e Shabbir Kat Gaya| New Noha Album 2019-20

....Peshawaii.......
Ama Batao Tum Ko Jo Hum Per Jafa Hui
Pardais Mai Hussain Say Zainab as Juda Hui
Chothay (4th) Baras Mai Baap Pay Beti Fida Hui
Ama Hussain Mar Gaye Mai Bay Rida hui
Dil Zindagi Say Zainab as Muztar ka Hat Gaya
Mai Dekhti Rahi Sir e Shabbir Kat Gaya
..............................
Ro Ro Kay Maa Ki Qabar Pay Zainab as Nay Di Sada
Mai Dekhti Rahi Sir e Shabbir as Kat Gaya
..............................
1).Pabandiyan Thi Dasht Mai Zainab as Kay Bain Per
Ronay Nahi Dia Mujay Lash e Hussain as Per
Ama Yeh Mera Sabar Yeh Hai Mera Hosla
..............................
2).Zakhmo Say Choor Choor Tha Shabbir as Us Ghari
Pyasay ko Teen Roz ki Thi Pyas b Bari
Phr b Teray Hussain as ko Pani Nahi Dia
..............................
3).Hiltay Thy Lab Hussain Kay Har Zarb Pay Meri
Kehta Hai Shimr Mainy Sada Gour Say Suni
Har Zarb Pr Hussain as Nay Ghazi ko di Sada
..............................
4).Yeh Hukam Tha Shiryat e Khair ul Anaam Mai
Haywan b Na Zibha hon Haywan Kay Samnay
Qismat Sakina as ki Hai Muqadar Hai Yeh Mera
..............................
5).Phr U hua Kay Sham Kay Saye Huwy Buland
Jalty Huwy Khayam Mai Naizay Huwy Buland
Ik Per Sir e Hussain as tha Ik per Meri Rida
..............................
6).Dil Keh Raha Tha Qatal Pay Ruk Jayega Sitam
Sir Kat Kay b Zulm Kay Larzay Nahi Qadam
Ahl e Jafa Nay Lasha b Pamaal Kar Dia
...........................
7).Jis Waqt Baap Beti Thay Masroof e Guftagoo
Pucho Nay Ama Kesaay laeen Aya Roo Ba Roo
Beti Ko Us Nay Baap Say Kesay Juda Kiya
..............................
8).Pucha Nahi Kisi Nay Tan e Paash Paash ko
Maqtal lay Gaye Sbhi Apno ki Lash ko
Tanha Teray Hussain Ka Lasha Para Raha
..............................
9).Ama Batao Tum Ko Mai Wo Dard Ka Maqam
Hatho Mai Sir Uthay Huwy Janab e Khayam
Hans Hans Kay Shimar Meri Taraf Dekhta Raha

Post a Comment

0 Comments