Header Notification

Ghazi Ka Kirdar Imamo Jaisa Hai | Manqabat Mola Ghazi Abbas 2019

Imamu jesa hai imamu jesa hai .
ghazi ka kirdar imamo jaisa hai
Har rukh se maiyaar imamu jesa hai.


Ummidun ka chehra khil khil jata hai.
Jo bhi mangu lamhu me mil jata hai.
Iska bhi darbaar imamu jesa hai.
Ghazi ka............


Masooma ki nazru ne pehchana hai.
Zehra ne kuch soch ke beta mana hai.
Sabr o wafa esaar imamu jesa hai.
Ghazi ka........

Neze se lashkr ke hoosh udhaye hen.
Karbo bala me khaiber yaad dilaye hen.
Har hmla har waar imamu jesa hai.
Ghazi ka.....

Khwaab ali ne dekha tha tabeer he ye.
Masoomu ke taqwe ki tasweer he ye.
Deen ka tab e daar imamu jesa hai.
Ghazi ka..........

Haider see taseer he iski batu me.
Kehta he islam ka parcham hathun me.
Ye bhi albardaar imamu jesa hai.
Ghazi ka........


Paani ko jb ghazi nikla thukra ke.
Darya ki har mouj pukari ghbrake.
Ye piyasa khuddar imamu jesa hai.
Ghazi ka..........

Jis rukh se bhi dekho Haider lagta hai.
Ye kehker jibreel bhi sort takta hai.
Iska bhi deedar imamu jesa hai.
Ghazi ka.........

Moujodah masoomu ki awaaz he ye.
Chaar imamu ki nazru ka naaz he ye.
Zoor badan me chaar imamu jesa hai.
Ghazi ka..........


Jo bhi talab aye Aamir o Akhtar karta he .
Be hathun ke jholi uski bharta hai.
Muhtaju se piyar imamu jesa hai.
Ghazi ka............

Post a Comment

1 Comments