Zafar E Jinn
Ana Zafar E Jinn
Zaafar E Jinn
1)
Ghulam e Fatah e Beerul Alam Main Zafar Hoon
Qaum e Jinnat Ka Shah e Ummam Main Zafar Hoon
Khaas Mujh Per Hai Ali Ka Karam Main Zafar Hoon
Aaj Rota Hoon Magar
Thaam Kar Apna Jigar
Dasht Main Mara Gaya
Mere Aaqa Ka Pisar
Hai Ye Afsos Me Mojood Raha
Jaan Maula Pe Fida Karnasaka
Haye Kuch Kar Na Saka… Zafar E Jinn (repeat every antra)
…Suno Main Tum Ko Batata Hoon Waqaya Jo Hua
…Roze Ashoor Tha Pehla Hua Tha Raaj Mera
…Vo Mere Jashn Ka Din Tha Saja Tha Taaj Mera
2)
Do Ghulaamon Ne Mere Aake Kaha Ae Maalik
Jiske Baba Ke Sabab Taj Mila Ae Maalik
Qatl Hota Hai Jo Malik He Tera Ae Malik
Hogaya Hashr Bapa
Taj Pairon Me Gira
Apne Lashkar Ko Liye
Main Chala Karbobala
3)
Meri Parwaz
Meri Parwaaz Hui Shehre Musayyab Pe Tamaam
Mujhko Tahad-e-Nazar Aya Nazar Lashkare Shaam
Main Barha Agay Ke Miljayen Mujhe Mere Imam
Ruk Gaye Mere Qadam…Ruk Gaye Mere Qadam…
Jahan Shabbir Ko Insanon Ne Tanha Dekha
Meri Aankhon Ne Wahan Laakhon Ka Majma Dekha
Ambiya Bhi They Malaaik They Ajinnah They Kharay
Aisi Noorani Bashar They Ke Nazar Na Tehre
Ek Jaanib The Rasool E Arabi, Ek Jaanib They Ali, Ek Jaanib Hasan ibne Ali
Phir Na Aankhon Ko Mere Taab Rahi, Maine Zehra Ki Sawaari Dekhi
Apni Nazron Ko Jhuka Kar Jo Hataya Peeche
Nabi Adam, Nabi Musa, Nabi Haroon Dikhe
Isa o Yusuf o Yaqoub Bhi Pehlu Main Mile
Hud aur Lut Kahin Nuh Kahin Khizr Kaheen
Zikriya Yarmiya Aur Shees O Sulaiman Bhi They
Mukhtasir Ye Ke Nabi Saare Wahaan They Maujood
Un Ke Peeche Thi Malaaik Ki Qataarain Maujood
Farishte Gaane Jahanumm - Farishte Gaane Bahisht
Israel, Israfeel, Mikael, Dardaeel
Rizwan aur Maalik, Fitrus Wa Jibrael
4)
Saath Shabbir Ke Maujood They Sab Aali Muqaam
Maine Socha Ke Kahan Jaaye Bhala Adna Ghulam
Mujhko Pehchaan Bhi Paayen Ya Nahi Mere Imam
Haaye Umeed Meri Dil Me Murjhaane Lagi
Ke Achanak Se Wahan Ye Sada Aane Lagi
Aao Zaafar Aao Zaafar
Aao Zaafar Tumhe Shabbir Ne Bulwaya He
Zafar E Jinn Ana Jafar E Jin
5)
Pohoncha Qadmo Me Kaha Maula Shahe Jinn o Bashar
Ho Salam Aap Pe Iss Jinn Ka Shahe Jinn o Bashar
Hukm Pe Aapke Hoon Fidya Shahe Jinn O Bashar
Dil Mera Doob Gaya
Jab Ye Maula Ne Kaha
Tum Palat Jaao Agar
Hone Aaye Ho Fida
6)
Maine Mola Se Kaha Izn Mujhe Den Shahe Deen
Bolay Shabbir Ye Jinnat Ki Hai Jung Nahi
Main Ye Bola Kahan Insa’n Hen Darinde Sabhi
Bolay Shabbir Ke Nana Ki Ye Ummat He Meri
Inhe Tum Kuch Na Kaho, Inhe Tum Kuch Na Kaho
Tum Hi Batlao Jiyoon Kaise Bhala Me Zafer
Aao Dikhlaaon Tumhe Karbobala Main Zaafar
Janisaaron Ke Janaaze Dekho
Mere Pyaaron Ke Ye Laashe Dekho
Tukre Qasim Ka Saraapa Dekho
Zakhmi Akbar Ka Kaleja Dekho
Kaheen Abbas Ke Baazu Kaheen Asghar Ka Gulu
Run Me Bikhra He Sabhi Bani Hashim Ka Lahu
7)
Dil Ko Ab Taab Nahi Phatne Laga He Ye Jigar
Isse Agay Main Bayaan Karnahi Sakta Manzar
Mukhtasir Ye Ke Huay Qatl Shahe Jinn O Bashar
Wada Abid Se Kiya
Main Hoon Masroof E Aza
Jab Talak Zinda Raha
Main Karoonga Girya
8)
Tha Yahi Mesum o Salman Kalaam E Zaafar
Karbala Main Hain Jahan Dafn Imam E Zaafar
Usse Kuch Door Hai Maujood Muqaam E Zaafar
Zafar E Jinn Ne Kiya
Apne Waade Ko Wafa
Aakhri Saans Talak
Thi Labon Par Ye Sada
1 Comments
Thanks for the best blog. it was very useful for me.keep sharing such ideas in the future as well. Join illuminati
ReplyDelete