Ek hi sada par aajaatay hain meri imdad ko chacha
Aise hain mere pyare chacha
Ek hi sada par aajaatay hain meri imdad ko chacha
Aise hain mere pyare chacha
Ai bachchon ye dariya ka pahra khulega
Tum ummid mat chhoro Pani milega
Mitayenge tashna dahani chacha ja'n
Abhi leke ayenge Pani chacha ja'n
Mashkeeza lekar, suye furat, jataaaay hain ab, mere chacha
Ai bachchon hain sukhay huye jinke kuze
Abhi Chand lamhon mein sare bharenge
Khushi ki laher ayk khaimon men hogi
Yahan mitne Wali hai ab pyas sabki
Sabko pilaye-ga khud Pani apne, haaaathon se, saqqa Mera
Agar ran ki den mere Baba ijazat
To ajaye dashte Bala men Qayamat
Saro ke liye Jism aada ke tarse
Sare karbala aj bas khoon barse
Koofe ki, deewaron se, takraaaaye ye, fauje jafa
Ai bachchon Dua mango waqte Dua hai
Laeino ka dariya pe pahra Laga hai
Wo nau lakh ki fauj ran men khadi hai
Hai maloom mujhko ye mushkil ghadi hai
Lekin mere, Ammu ja'n se, Lashkar hai Sara, sahma hua
Adu ko karenge sada zer Ammu
Ke Shere ilahi ke hain Sher Ammu
Hain meelo chacha ja'n ki haibat ke charche
Bashar kya h khud maut darti h in se
Ghaiz men gar, dekhein chacha ja'n, jal jaeeyegi ye alqama
Ai bachchon ye Wada Raha Mera Tum se
Sabhi aj Pani se sairab honge
Rehayi milegi tumhe qaide gham se
Ye sukhe huye honth nam phir se honge
Puri karenge, mere chacha ja'n, ajjjj tumhare, lab ki dua
Achanak se ummid sab tooti haye
Ke Ghazi ke bazu bureeda bhi aye
Barhegi Abhi aur tashna dahani
Karenge ye bachche faqat Pani pani
Ran mien Hilal aur-mahum phir bhi, lab pe sakina, ke thi sada
0 Comments