Haye Ali, Haye Haye Ali
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me Karbala me
Zehra ka ghar luta he, haye rah-e-khuda me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me Karbala me
Ek fajr par he Sajda, Ek sajda asr par he
Ek simt par he beta, Ek simt par padar he
Kya farq he batao, dono ka is jafa me
Kufa me Karbala me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me; Karbala me
Kufay me Murtaza ki, Beti pe he yateemi
Shabbir ki yateema, Karbobala me ujri
Hain Zainab o Sakina, Ek dard ki fiza me
Kufay me Karbala me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me; Karbala me
Kulthum aur Zainab, parh-ti rahi hein nawha
Baba ko zakhmi dekha, Bhai ko zakhmi dekha
Manzar he ek jaysa, iss dehr-e-be-wafa me
Kufay me Karbala me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me; Karbala me
Maloom tha Ali ko, sajda na hoga pura
Sarwar ko bhi pata he, ab aakhri he Sajda
Sar ko jhukaya phir bhi, tazeem-e-kibriya me
Kufay me; Karbala me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me; Karbala me
Qasim ke woh tukray, ya ho gulu-e-asghar
Akbar ka ho woh seena, ya bazu-e-dilaawar
Imran ka khoon baha he, haye bughz-e-Murtaza me
Kufay me, Karbala me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me; Karbala me
Salman aur Mesum, tareekh he bata-ti
Guzri he zindagi bas, aulad-e-Sayyeda ki
Matam me Murtaza ke, Shabbir ki aza me
Kufay me; Karbala me
Behta he khoon-e-Haider, Kufay me; Karbala me
0 Comments