Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Ba-Khuda Qadmo Mein Sarkar(SAWW) Ke Paya Jata.
Sath Sarkar(SAWW) Ke Ghazwaat Mein Shamil Hota.
Un Ki Nusrat Mein Laho Mera Bahaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Rait Ke Zaroon Mein ALLAH Badal Deta Mujhe.
Phir Mujhe Rah-e-Muhammad(SAWW) Mein Bichaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Khak Ho Jata Main Sarkar(SAWW) Ke Qadmo Ke Tale.
Khak Ko Khak-e-Madina Mein Milaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Mill Ke Sab Loag Mujhe Mati Se Gara Karte.
Phir Mujhe Masjid-e-Nabvi(SAWW) Mein Lagaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Kash Aye Kash Main Hota Koi Aisi Lakri.
Jis Ko Sarkar(SAWW) Ke Minbar Mein Lagaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Un Ke Roze Ke Dar-o-Baam Sajane Ke Liye.
Rozno Mein Meri Aankhon Ko Lagaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Laya Jata Sar-e-Darbar Aseeron Ki Tarha.
Hukam Par Un Ke Main Aazaad Karaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Ya Utarta Kissi Naat Ke Misray Ban Kar.
Robaro Un Ke Main Un Ko Hi Sunaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Hote Oss Door Ka Qisa Koi :NOOR:-o-:FARHAN:.
Aaj Ke Door Mein Bachon Ko Parhaya Jata.
Kash Main Door-e-Payamber(SAWW) Mein Uthaya Jata.
Ba-Khuda Qadmo Mein Sarkar(SAWW) Ke Paya Jata...
0 Comments