Header Notification

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Naat Lyrics


Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke Nana
Zahra paak ke sadqe hum ko Taiba me bulwana
Aye Hasnain ke Nana

Aap ke dar ka hu mai bhikaari aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jin ko sab ki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana

Be saaya hai lekin do jag par hai aap ka saaya
Arshe mu`alla bana mohalla deed ko Rab ne bulaaya
Hashr talak na hoga kisi ka
Aisa aana jaana
Aye Hasnain ke Nana

Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazaara
Kaifo masti me dooba hai dekho aalam saara
Dhoond rahi hai aap ki rehmat bakhshish ka bahaana
Aye Hasnain ke Nana

Nisbat ka faizan hai dekho Khaadime Gause Jalee hu
karta hai mujh pe naaz zamaana
Mai Ausaafe Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu saail hu puraana
Aye Hasnain ke Nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke Nana
Pages: English Hindi

Post a Comment

1 Comments